ग़ायब हो जाना
एक पूरी प्रक्रिया है
जो दहशत पैदा करती है
यह अचानक नहीं होता
मानचित्र से
कई देश ग़ायब हो गए
शहर से, गाँव से
कई लोग ग़ायब हो गए
आँगन से
कई चिड़ियाँ ग़ायब हो गईं
अब बुलाने पर भी
कभी नहीं आती
ठीक उसी तरह
जैसे वाक्यों के बीच से
शब्द ग़ायब हो रहे हैं
लाइब्रेरी में धूल फाँकते
शब्दकोश में भी
कई बार उन शब्दों को ढूँढ़ा
अफ़सोस,
कहीं नज़र नहीं आए
शायद दीमक ने उसे चाट लिया
ज़ुबान भी अब
उन शब्दों का उच्चारण
भूलने लगी है
यह ग़ायब हो जाना
बहुत ही ख़ौफ़नाक खेल है
जो दहशत पैदा करता है।
ghayab ho jana
ek puri prakriya hai
jo dahshat paida karti hai
ye achanak nahin hota
manachitr se
kai desh ghayab ho gaye
shahr se, gaanv se
kai log ghayab ho gaye
angan se
kai chiDiya ghayab ho gai
ab bulane par bhi
kabhi nahin aati
theek usi tarah
jaise,
vakyon ke beech se
shabd ghayab ho rahe hain
library mein dhool phankate
shabdkosh mein bhi
kai baar un shabdon ko DhunDha
afsos,
kahin nazar nahin aaya
shayad dimak ne use chaat liya
zuban bhi ab
un shabdon ka uchcharan
bhulne lagi hai
ye ghayab ho jana
bahut hi khaufnak khel hai
jo dahshat paida karta hai.
ghayab ho jana
ek puri prakriya hai
jo dahshat paida karti hai
ye achanak nahin hota
manachitr se
kai desh ghayab ho gaye
shahr se, gaanv se
kai log ghayab ho gaye
angan se
kai chiDiya ghayab ho gai
ab bulane par bhi
kabhi nahin aati
theek usi tarah
jaise,
vakyon ke beech se
shabd ghayab ho rahe hain
library mein dhool phankate
shabdkosh mein bhi
kai baar un shabdon ko DhunDha
afsos,
kahin nazar nahin aaya
shayad dimak ne use chaat liya
zuban bhi ab
un shabdon ka uchcharan
bhulne lagi hai
ye ghayab ho jana
bahut hi khaufnak khel hai
jo dahshat paida karta hai.
स्रोत :
रचनाकार : वंदना पराशर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.