चरित्र के समस्त आयाम
केवल स्त्री के लिए ही परिभाषित हैं
मैं सिंदूर लगाना नहीं भूलती
और हर जगह स्टेटस में मैरिड लगा रखा है
जैसे यह कोई सुरक्षा-चक्र हो
मैं डरती हूँ
जब कोई पुरुष मेरा एक क़रीबी दोस्त बनता है
मुझे बहुत सोच-समझकर
शब्दों का चयन करना पड़ता है
प्रेम का प्रदर्शन
और भावों की उन्मुक्त अभिव्यक्ति
सदैव मेरे चरित्र पर एक प्रश्नचिह्न लगाती है
मेरी बेबाकियाँ मुझे चरित्रहीन के समकक्ष ले जाती हैं
और मेरी उन्मुक्त हँसी
एक अनकहे आमंत्रण का
पर्याय मानी जाती है
मैं अभिशप्त हूँ
पुरुष की खुली सोच को स्वीकार करने के लिए
और साथ ही विवश हूँ
अपनी खुली सोच पर नियंत्रण रखने के लिए
मुझे शोभा देता है
ख़ूबसूरत लगना
स्वादिष्ट भोजन पकाना
और वे सारी ज़िम्मेदारियाँ
अकेले उठाना
जिन्हें साझा किया जाना चाहिए
जब मैं इस दायरे के बाहर सोचती हूँ
मैं कहीं खप नहीं पाती
स्त्री समाज मुझे जलन और हेय की
मिली-जुली दृष्टि से देखता है
और पुरुष समाज
मुझमें अपने अवसर तलाश करता है
मेरी सोच... मेरी संवेदनाएँ
मेरी ही घुटन का सबब बनती हैं
मैं छटपटाती हूँ
क्या स्वयं की क़ैद से मुक्ति संभव है?
charitr ke samast ayam
kewal istri ke liye hi paribhashit hain
main sindur lagana nahin bhulti
aur har jagah status mein mairiD laga rakha hai
jaise ye koi suraksha chakr ho
main Darti hoon
jab koi purush mera ek qaribi dost banta hai
mujhe bahut soch samajhkar
shabdon ka chayan karna paDta hai
prem ka pradarshan
aur bhawon ki unmukt abhiwyakti
sadaiw mere charitr par ek prashnachihn lagati hai
meri bebakiyan mujhe charitrahin ke samkaksh le jati hain
aur meri unmukt hansi
ek anakhe amantran ka
paryay mani jati hai
main abhishapt hoon
purush ki khuli soch ko swikar karne ke liye
aur sath hi wiwash hoon
apni khuli soch par niyantran rakhne ke liye
mujhe shobha deta hai
khubsurat lagna
swadisht bhojan pakana
aur we sari zimmedariyan
akele uthana
jinhen sajha kiya jana chahiye
jab main is dayre ke bahar sochti hoon
main kahin khap nahin pati
istri samaj mujhe jalan aur hey ki
mili juli drishti se dekhta hai
aur purush samaj
mujhmen apne awsar talash karta hai
meri soch meri sanwednayen
meri hi ghutan ka sabab banti hain
main chhatpatati hoon
kya swayan ki qaid se mukti sambhaw hai?
charitr ke samast ayam
kewal istri ke liye hi paribhashit hain
main sindur lagana nahin bhulti
aur har jagah status mein mairiD laga rakha hai
jaise ye koi suraksha chakr ho
main Darti hoon
jab koi purush mera ek qaribi dost banta hai
mujhe bahut soch samajhkar
shabdon ka chayan karna paDta hai
prem ka pradarshan
aur bhawon ki unmukt abhiwyakti
sadaiw mere charitr par ek prashnachihn lagati hai
meri bebakiyan mujhe charitrahin ke samkaksh le jati hain
aur meri unmukt hansi
ek anakhe amantran ka
paryay mani jati hai
main abhishapt hoon
purush ki khuli soch ko swikar karne ke liye
aur sath hi wiwash hoon
apni khuli soch par niyantran rakhne ke liye
mujhe shobha deta hai
khubsurat lagna
swadisht bhojan pakana
aur we sari zimmedariyan
akele uthana
jinhen sajha kiya jana chahiye
jab main is dayre ke bahar sochti hoon
main kahin khap nahin pati
istri samaj mujhe jalan aur hey ki
mili juli drishti se dekhta hai
aur purush samaj
mujhmen apne awsar talash karta hai
meri soch meri sanwednayen
meri hi ghutan ka sabab banti hain
main chhatpatati hoon
kya swayan ki qaid se mukti sambhaw hai?
स्रोत :
रचनाकार : पूनम सोनछात्रा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.