जाने कहाँ की सभ्यता से निकला है वह
पत्थर नहीं है वह केवल
एक दुनिया है उसकी
और हमारी रसोई में वह सबसे पुरानी धरती है
जिस पर सबसे पहली माँ जीवन के स्वाद को बढ़ाने के लिए
पीस रही है प्राचीन वनस्पतियाँ
क्या वह पूजा-कथाओं का कोई देवता है ऐसा
जिस पर नहीं लगाना पड़ता हल्दी-चावल का तिलक
न उसे प्रसन्न करने के लिए पढ़नी पड़ती है कोई आदि कविता
उदास लगता है वह
एक कोने पर पड़ा हुआ सुनता है मशीन का रौरव
जिसमें बाहर निकलने पर मसाले अपने रस से छिटक जाते हैं
परिवार के इस बुज़ुर्ग से समय मिलने पर ही
हो पाती है बातचीत
और समय कितना कम है हमारे समय में
हमारी नसों में बसे नमक और बहते हुए ख़ून में
उसका भी अंश है
हर दाने के साथ हमारे भीतर प्रवेश करता है
उसके कई घर हैं कई द्वार कई खिड़कियाँ
कई चेहरे हैं उसके
कई सदियों से जीवित है वह
जैसे पेड़ हर वर्ष अपने तने में बड़ा लेते हैं एक वृत्त
वह हर बार हमारे लिए लेता है जन्म
उसकी कई कहानियाँ हैं अनेक संस्मरण
किसे याद करें जो भुला दिया हो
कुछ भी नहीं है ऐसा
कि दूर ही नहीं हुआ वह कभी हमारे जीवकोषों से
वह पुरखा है हमारा जो कई-कई सदियों से हम में बसा है।
jane kahan ki sabhyata se nikla hai wo
patthar nahin hai wo kewal
ek duniya hai uski
aur hamari rasoi mein wo sabse purani dharti hai
jis par sabse pahli man jiwan ke swad ko baDhane ke liye
pees rahi hai prachin wanaspatiyan
kya wo puja kathaon ka koi dewta hai aisa
jis par nahin lagana paDta haldi chawal ka tilak
na use prasann karne ke liye paDhani paDti hai koi aadi kawita
udas lagta hai wo
ek kone par paDa hua sunta hai machine ka rauraw
jismen bahar nikalne par masale apne ras se chhitak jate hain
pariwar ke is buzurg se samay milne par hi
ho pati hai batachit
aur samay kitna kam hai hamare samay mein
hamari nason mein base namak aur bahte hue khoon mein
uska bhi ansh hai
har dane ke sath hamare bhitar prawesh karta hai
uske kai ghar hain kai dwar kai khiDkiyan
kai chehre hain uske
kai sadiyon se jiwit hai wo
jaise peD har warsh apne tane mein baDa lete hain ek writ
wo har bar hamare liye leta hai janm
uski kai kahaniyan hain anek sansmran
kise yaad karen jo bhula diya ho
kuch bhi nahin hai aisa
ki door hi nahin hua wo kabhi hamare jiwkoshon se
wo purkha hai hamara jo kai kai sadiyon se hum mein bsa hai

स्रोत :
पुस्तक : चाँद पर नाव (पृष्ठ 99)
रचनाकार : हेमंत कुकरेती
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.