किसी बाग़ में
छतनार या ठूँठ पेड़ के नीचे
गाँव की ठीक चौहद्दी पर
किसी पुल के नीचे
किसी विश्वविद्यालय की दीवार से पीठ सटाकर
वे मौर बनाते हैं
बाँस से
दूल्हे अपनी प्रियतमा के घर
कितनी शान से जाते हैं
उनकी मेहनत पहनकर
न जाने कितने गीत बने
कितने-कितने कंठों ने गाई उनकी सुंदरता
वे ग़ायब रहे इन गीतों से
जैसे वे बाँस की खपच्ची हों
नामालूम, तुच्छ
वे बनाते हैं डाल
जिसमें रखा जाता है
ब्याहता स्त्रियों का सौभाग्य
साजते हैं उसे रच-रचकर
जैसे ईश्वर जान डाल रहा हो
किसी काया में
एक-एक अंग में
उन्हें डर लगता है कि कहीं
कोई बूढ़ी स्त्री डाल को देखकर मुँह न बिचका दे
वे टिखटी बनाते हैं
जिस पर आदमी चढ़कर जाता है श्मशान
उसमें भी क़ायदे से कील ठोकते हैं
आदमी गिर न जाए कहीं
बीच रास्ते में
उन्हें मरे हुए आदमी का वज़न मालूम है
इस देश ने
जनतंत्र ने
भारत भाग्य विधाता ने
उतनी ही शिद्दत से नहीं सुनी उनकी बात
जितने शिद्दत से बनाए उन्होंने मौर, डाल और टिखटी
इस शहर से उस शहर
इस बाग़ से उस बाग़
यहाँ तक कि इस श्मशान से उस श्मशान तक
आख़िर कब तक घूमेंगे वे
हरा बाँस और बाँका लिए
कब आएगा उनके घर
शुभ
कब होगा मंगलगान?
kisi bagh mein
chhatnar ya thoonth peD ke niche
ganw ki theek chauhaddi par
kisi pul ke niche
kisi wishwawidyalay ki diwar se peeth satakar
we maur banate hain
bans se
dulhe apni priyatma ke ghar
kitni shan se jate hain
unki mehnat pahankar
na jane kitne geet bane
kitne kitne kanthon ne gai unki sundarta
we ghayab rahe in giton se
jaise we bans ki khapachchi hon
namalum, tuchchh
we banate hain Dal
jismen rakha jata hai
byahta striyon ka saubhagya
sajte hain use rach rachkar
jaise ishwar jaan Dal raha ho
kisi kaya mein
ek ek ang mein
unhen Dar lagta hai ki kahin
koi buDhi istri Dal ko dekhkar munh na bichka de
we tikhti banate hain
jis par adami chaDhkar jata hai shmshan
usmen bhi qayde se keel thokte hain
adami gir na jaye kahin
beech raste mein
unhen mare hue adami ka wazan malum hai
is desh ne
jantantr ne
bharat bhagya widhata ne
utni hi shiddat se nahin suni unki baat
jitne shiddat se banaye unhonne maur, Dal aur tikhti
is shahr se us shahr
is bagh se us bagh
yahan tak ki is shmshan se us shmshan tak
akhir kab tak ghumenge we
hara bans aur banka liye
kab ayega unke ghar
shubh
kab hoga mangalgan?
kisi bagh mein
chhatnar ya thoonth peD ke niche
ganw ki theek chauhaddi par
kisi pul ke niche
kisi wishwawidyalay ki diwar se peeth satakar
we maur banate hain
bans se
dulhe apni priyatma ke ghar
kitni shan se jate hain
unki mehnat pahankar
na jane kitne geet bane
kitne kitne kanthon ne gai unki sundarta
we ghayab rahe in giton se
jaise we bans ki khapachchi hon
namalum, tuchchh
we banate hain Dal
jismen rakha jata hai
byahta striyon ka saubhagya
sajte hain use rach rachkar
jaise ishwar jaan Dal raha ho
kisi kaya mein
ek ek ang mein
unhen Dar lagta hai ki kahin
koi buDhi istri Dal ko dekhkar munh na bichka de
we tikhti banate hain
jis par adami chaDhkar jata hai shmshan
usmen bhi qayde se keel thokte hain
adami gir na jaye kahin
beech raste mein
unhen mare hue adami ka wazan malum hai
is desh ne
jantantr ne
bharat bhagya widhata ne
utni hi shiddat se nahin suni unki baat
jitne shiddat se banaye unhonne maur, Dal aur tikhti
is shahr se us shahr
is bagh se us bagh
yahan tak ki is shmshan se us shmshan tak
akhir kab tak ghumenge we
hara bans aur banka liye
kab ayega unke ghar
shubh
kab hoga mangalgan?
स्रोत :
रचनाकार : रमाशंकर सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.