बहुत दिन नहीं बीता पिछले आषाढ़ को
और आषाढ़ फिर से आ गया
जैसे फूलों को गए बहुत दिन नहीं होते हैं
और वे मुँह काढ़े फिर आ जाते हैं
कई बार बिरवे ग़ायब होते हैं
और फूल आकर लौट जाते हैं
वह तालाब जहाँ छप-छैया मारते थे बाल-गोपाल
उसकी सँकरी गली में लटके बेला-फूल
अबकी नहीं आए होंगे
वे उदास फूल मेरे सपने में आए किंतु,
मैं चित्रकार न हुआ
उन्होंने भी मुझे बरज दिया कि
कोई स्केच उदासी का मैं कभी न खींचूँ
किसान,
प्रेमी,
लताएँ,
सब संभावना से हैं
मुझे आश्चर्य हुआ कि
उनकी परिभाषा का आषाढ़
फिर तो आया ही नहीं!
महीने आ जाते हैं, मौसम नहीं आता।
bahut din nahin bita pichhle ashaDh ko
aur ashaDh phir se aa gaya
jaise phulon ko gaye bahut din nahin hote hain
aur we munh kaDhe phir aa jate hain
kai bar birwe ghayab hote hain
aur phool aakar laut jate hain
wo talab jahan chhap chhaiya marte the baal gopal
uski sankari gali mein latke bela phool
abki nahin aaye honge
we udas phool mere sapne mein aaye kintu,
main chitrkar na hua
unhonne bhi mujhe baraj diya ki
koi sketch udasi ka main kabhi na khinchun
kisan,
premi,
latayen,
sab sambhawna se hain
mujhe ashchary hua ki
unki paribhasha ka ashaDh
phir to aaya hi nahin!
mahine aa jate hain, mausam nahin aata
bahut din nahin bita pichhle ashaDh ko
aur ashaDh phir se aa gaya
jaise phulon ko gaye bahut din nahin hote hain
aur we munh kaDhe phir aa jate hain
kai bar birwe ghayab hote hain
aur phool aakar laut jate hain
wo talab jahan chhap chhaiya marte the baal gopal
uski sankari gali mein latke bela phool
abki nahin aaye honge
we udas phool mere sapne mein aaye kintu,
main chitrkar na hua
unhonne bhi mujhe baraj diya ki
koi sketch udasi ka main kabhi na khinchun
kisan,
premi,
latayen,
sab sambhawna se hain
mujhe ashchary hua ki
unki paribhasha ka ashaDh
phir to aaya hi nahin!
mahine aa jate hain, mausam nahin aata
स्रोत :
रचनाकार : अखिलेश सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.