धूप मौन होकर चूस रही है
स्याहीचूस की तरह जल सरोवर का
मछलियाँ नाप रही हैं ऊपरी तल से निचले तल तक की गहराई।
सूरज की किरणें डॉक्टर की सुई की भाँति
खींच रही है रक्त हरे वृक्षों का
पक्षी अनमने मन से ढूँढ़ रहे हैं
सूखी-बिखरी हुई वृक्षों की छाँव,
कृषकों की आँखों में उग आया सूरज
अंततः डूब गया है अथाह नयन जल में।
तब किसी एक किसान ने
गर्दन उठा कर कहा—
‘‘नहीं है, नहीं है पानी आसमान में
आसमान के देवों में,
पानी है धरती में, धरती के लोगों में
अकाल यहाँ नहीं वहाँ पड़ा होगा।
कहाँ पड़ा अकाल और कहाँ कर रहे भोग लोग
कह रहे हैं संजोग
फ़क़त संजोग!
dhoop maun hokar choos rahi hai
syahichus ki tarah jal sarovar ka
machhliyan naap rahi hain upri tal se nichle tal tak ki gahrai.
suraj ki kirnen doctor ki sui ki bhanti
kheench rahi hai rakt hare vrikshon ka
pakshi anamne man se DhoonDh rahe hain
sukhi bikhri hui vrikshon ki chhaanv,
krishkon ki ankhon mein ug aaya suraj
antat Doob gaya hai athah nayan jal mein.
tab kisi ek kisan ne
gardan utha kar kaha—
‘‘nahin hai, nahin hai pani asman men
asman ke devon mein,
pani hai dharti mein, dharti ke logon men
akal yahan nahin vahan paDa hoga.
kahan paDa akal aur kahan kar rahe bhog log
kah rahe hain sanjog
fak sanjog!
dhoop maun hokar choos rahi hai
syahichus ki tarah jal sarovar ka
machhliyan naap rahi hain upri tal se nichle tal tak ki gahrai.
suraj ki kirnen doctor ki sui ki bhanti
kheench rahi hai rakt hare vrikshon ka
pakshi anamne man se DhoonDh rahe hain
sukhi bikhri hui vrikshon ki chhaanv,
krishkon ki ankhon mein ug aaya suraj
antat Doob gaya hai athah nayan jal mein.
tab kisi ek kisan ne
gardan utha kar kaha—
‘‘nahin hai, nahin hai pani asman men
asman ke devon mein,
pani hai dharti mein, dharti ke logon men
akal yahan nahin vahan paDa hoga.
kahan paDa akal aur kahan kar rahe bhog log
kah rahe hain sanjog
fak sanjog!
स्रोत :
पुस्तक : सदानीरा
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : पारस अरोड़ा
प्रकाशन : सदानीरा पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.