बतौर कवि और दुनिया के अदने से चिंतक की हैसियत से
स्वयं को न्यायाधीश मानकर
सबसे पहले यह तय कर दिया मैंने
कि सरकार ही आरोपी है
उसे फाँसी दे दो
लिखा और तोड़ दी क़लम
कि इस आरोपी को मौत तक
फाँसी पर लटकाए रखा जाए
अब सरकार चाहे तो मुझे
देशद्रोही क़रार दे
चाहे तो
नक्सली
चाहे तो
वह मुझे
पागल कहे
चाहे तो
मुझे उकसाए
आत्महत्या के लिए
जैसा किसानों को उकसाती है
अभावों के बीच रखकर
अपने साथियों का नरमुंड लेकर दिल्ली में भटकने के बदले
किसानों
उठो
कपास उगाओ
बनाओ फाँसी की सबसे मोटी
और सबसे बड़ी फाँद वाली रस्सी
जिसमे अँट सके
अँधेर नगरी वाले राजा का गला
तुम्हारा कवि
तुम्हारी रक्षा के लिए
आज जल्लाद की भी भूमिका अदा करेगा
bataur kavi
aur
duniyan ke adne se chintak ki haisiyat se
svayan ko nyayadhish mankar
sabse pahle ye tay kar diya mainne
ki
sarkar hi aropi hai
use phansi de do
likha aur
toD di qalam
ki is aropi ko
maut tak
phansi par latkaye rakha jaye
ab sarkar chahe to
mujhe
deshadrohi karar de
chahe to
naksali
chahe to
wo mujhe
pagal kahe
chahe to
mujhe uksaye
atmahatya ke liye
jaisa kisanon ko uksati hai
abhavon ke beech rakhkar
apne sathiyon ka narmunD lekar dilli mein bhatakne ke badle
kisanon
utho
kapas ugao
banao phansi ki sabse moti
aur sabse baDi phaand vali rassi
jisme ant sake
andher nagri vale raja ka gala
tumhara kavi
tumhari raksha ke liye
aaj jallad ki bhi bhumika ada karega
bataur kavi
aur
duniyan ke adne se chintak ki haisiyat se
svayan ko nyayadhish mankar
sabse pahle ye tay kar diya mainne
ki
sarkar hi aropi hai
use phansi de do
likha aur
toD di qalam
ki is aropi ko
maut tak
phansi par latkaye rakha jaye
ab sarkar chahe to
mujhe
deshadrohi karar de
chahe to
naksali
chahe to
wo mujhe
pagal kahe
chahe to
mujhe uksaye
atmahatya ke liye
jaisa kisanon ko uksati hai
abhavon ke beech rakhkar
apne sathiyon ka narmunD lekar dilli mein bhatakne ke badle
kisanon
utho
kapas ugao
banao phansi ki sabse moti
aur sabse baDi phaand vali rassi
jisme ant sake
andher nagri vale raja ka gala
tumhara kavi
tumhari raksha ke liye
aaj jallad ki bhi bhumika ada karega
स्रोत :
रचनाकार : अरमान आनंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.