वह इत्मीनान से झाड़ता है सारे शक-ओ-शुब्हा,
अश्रु का नमकीन स्वाद...
अश्रु की रासायनिक क्रिया ठोस को द्रव में बदलती है
फिर भाप में बदलकर
हल्का कर देती है।
विह्वल मन आत्मा के मानचित्र पर
उदासी की सीमाएँ नहीं खींचता
वह देह के समंदर से खींच लेता है सारा नमक,
पेशानी पर पड़ी रेखाओं से मंत्रणा भी नहीं करता,
किसी अनचीन्ही यात्रा पर
सार्त्र का हाथ पकड़कर भी नहीं चलता
परवीन शाकिर की ग़ज़लों का अंतिम मिसरा
विह्वल मन रुँधे कंठ से भी नहीं गा पाता,
बस एकांत की धोती का मुसा हुआ कोना पकड़ता है
और अपने आँखों के गीले कोनों पर रखकर
चराग़ों के बाज़ार लगाता है।
wo itminan se jhaDta hai sare shak o shubha,
ashru ka namkin svaad. . .
ashru ki rasayanik kriya thos ko drav mein badalti hai
phir bhaap mein badalkar
halka kar deti hai.
vihval man aatma ke manachitr par
udasi ki simayen nahin khinchta
wo deh ke samandar se kheench leta hai sara namak,
peshani par paDi rekhaon se mantrna bhi nahin karta,
kisi anchinhi yatra par
saartr ka haath pakaDkar bhi nahin chalta
parvin shakir ki ghazlon ka antim misra
vihval man rundhe kanth se bhi nahin ga pata,
bas ekaant ki dhoti ka musa hua kona pakaDta hai
aur apne ankhon ke gile konon par rakhkar
charaghon ke bazar lagata hai.

स्रोत :
रचनाकार : ऋतु त्यागी
प्रकाशन : हिंदवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.