एक थी सुनरी
जो नहीं जानती जात-धरम,
जमात की आड़ में हो रहे थे छद्म, भितरघात
वहशी इरादों से तार-तार होती रही उसकी अस्मत
एक थी सुनरी
जो नहीं कर सकी अपनी सात साल की बच्ची का सामना
नहीं दिखा सकी अपनी कालिख पिया को
मुँह छिपाती रही सास-ससुर से
समाज के कलंक को जला डाला अपने साथ ही
दे डाली अपने चीथड़ों की आहुति
एक थी सुनरी
कलंकी घूम रहा है मूँछों पर ताव देता
सुनरी की छितराई अस्मत बन गई घर घर की चर्चा
सुना है मीडिया कर्मी घसीट लाएँ हैं पूरे परिवार को स्टूडियो में
सुनरी की लुटी अस्मत अब घर गाँव-शहर देश की सभी विधान सभाओं में गूँजेगी
अब न्याय-अन्याय मिले न मिले जग हँसाई तो रहेगी
एक थी सुनरी
जिसकी सात साल की बच्ची हर गली सड़क चौराहे पर पहचानी जा रही है
बुढ़िया सास अंचारे से मुँह ढँककर जाती है हाट बाज़ार
पति और ससुर का बंद है हुक्का पानी
विस्थापित परिवार बन गया है विषय गोष्ठियों का
एक थी सुनरी, एक है सुनरी, एक और होगी सुनरी...
ek thi sunri
jo nahin janti jaat dharam,
jamat ki aaD mein ho rahe the chhadm, bhitarghat
vahshi iradon se taar taar hoti rahi uski asmat
ek thi sunri
jo nahin kar saki apni saat saal ki bachchi ka samna
nahin dikha saki apni kalikh piya ko
munh chhipati rahi saas sasur se
samaj ke kalank ko jala Dala apne saath hi
de Dali apne chithDon ki ahuti
ek thi sunri
kalanki ghoom raha hai munchhon par taav deta
sunri ki chhitrai asmat ban gai ghar ghar ki charcha
suna hai miDiya karmi ghasit layen hain pure parivar ko stuDiyo mein
sunri ki luti asmat ab ghar gaanv shahr desh ki sabhi vidhan sabhaon mein gunjegi
ab nyaay anyay mile na mile jag hansai to rahegi
ek thi sunri
jiski saat saal ki bachchi har gali saDak chaurahe par pahchani ja rahi hai
buDhiya saas anchare se munh Dhankakar jati hai haat bazar
pati aur sasur ka band hai hukka pani
visthapit parivar ban gaya hai vishay goshthiyon ka
ek thi sunri, ek hai sunri, ek aur hogi sunri. . .

स्रोत :
रचनाकार : सुधा उपाध्याय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.