बीतती हुई यह सुबह है
सितंबर की, ठेठ हिंदुस्तानी सुबह
संतरे के पीले रंग-सी
फैली है रौशनी
जिससे मिल-सा जाता है उस बच्ची के कुर्ते का रंग
नौ-दस बरस की वह बच्ची रोती है बेआवाज़
बस गीली हैं उसकी आँखें
वह नहीं देखती, बग़ल में मरीज़ के बिस्तर पर पड़ी माँ की ओर
न ही उसे छूती, न चिपकती
उसकी आँखें अँसुआई खुली हैं सामने फैले शून्य में
सरकारी अस्पताल के जनरल भर्ती वार्ड में
उस बीमार अधेड़ होती स्त्री को घेरकर
खड़ी औरतों का समूह रोता है एक विचित्र कोरस में
औरतें जो, अभी थोड़ी देर पहले आई हैं गाँव से
और थोड़ी ही देर में लौट जाएँगी
बेटी की पनिआई ऑंखों से थोड़ा तिर्यक में
दो क़दम की दूरी पर
बेआवाज़ रोती है माँ बेटी के पीछे
बेटी की आँखों में तैर आई है
लगातार रोने से उपजी लाली
गाँव की औरतों के साथ दरवाज़ा पार करते
वह पिता को देखती है
जो भरी भीड़ में खिड़की के पार देखता रोता है बेआवाज़
बीमार पत्नी अचरज से देखती है पति को
जो खिड़की के पार देखता
खोल रहा है अनंत दुखों की ख़ूब कसके बाँधी कई गाँठों वाली पोटली
उसका मन है कि पकड़ ले पति की साँवली एकहरी बाँह
पर दो गज़ की दूरी, जैसे अनंत है, उसके लिए
वह जानती है यह रोना
जैसे तैयारी है अगले कष्टों को सहने की
औरतें बेटी का हाथ पकड़े पार कर रही हैं दरवाज़ा
मुड़-मुड़ देखती
कलयुग की एक सुबह
जम्बूद्वीपे भरतखंडे जब घट रहा है यह दृश्य
भवभूति के वंशज कवि की आत्मा और भाषा
गीली-सी हुई जाती है
उन आँखों की तरह
bitti hui ye subah hai
sitambar ki, theth hindustani subah
santre ke pile rang si
phaili hai raushani
jisse mil sa jata hai us bachchi ke kurte ka rang
nau das baras ki wo bachchi roti hai beavaz
bas gili hain uski ankhen
wo nahin dekhti, bagal mein mariz ke bistar par paDi maan ki or
na hi use chhuti, na chipakti
uski ankhen ansuaii khuli hain samne phaile shunya men
sarkari aspatal ke janral bharti vaarD men
us bimar adheD hoti stri ko gherkar
khaDi aurton ka samuh rota hai ek vichitr koras men
aurten jo, abhi thoDi der pahle aai hain gaanv se
aur thoDi hi der mein laut jayengi
beti ki paniaii aunkhon se thoDa tiryak mein
do qadam ki duri par
beavaz roti hai maan beti ke pichhe
beti ki ankhon mein tair aai hai
lagatar rone se upji lali
gaanv ki aurton ke saath darvaza paar karte
wo pita ko dekhti hai
jo bhari bheeD mein khiDki ke paar dekhta rota hai beavaz
bimar patni achraj se dekhti hai pati ko
jo khiDki ke paar dekhta
khol raha hai anant dukhon ki khoob kaske bandhi kai ganthon vali potli
uska man hai ki pakaD le pati ki sanvli ekahri baanh
par do gaj ki duri, jaise anant hai, uske liye
wo janti hai ye rona
jaise taiyari hai agle kashton ko sahne ki
aurten beti ka haath pakDe paar kar rahi hain darvaza
muD muD dekhti
kalyug ki ek subah
jambudvipe bharatkhanDe jab ghat raha hai ye drishya
bhavbhuti ke vanshaj kavi ki aatma aur bhasha
gili si hui jati hai
un ankhon ki tarah

स्रोत :
रचनाकार : आशीष त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.