ये रिश्ते
किताबें नहीं
जो पढ़कर
कर दिए जाएँ ख़त्म
न ही मौसमों की तरह
बदल जाने का कोई ज़रूरी साक्ष्य
न ही टूटते हैं
शाख से टूटे हुए पत्तों की तरह
न ही बारिश की बूँदों से
हो जाते हैं जज़्ब
गरम तपती ज़मीन पर...
एक सच्ची आस्था
विश्वास, प्रेम
और
ढेर सारा त्याग
किसी भी दीवार को ढहा सकते हैं
जो उठ चुकी
पुश्तैनी
जर्जर रिश्तों के बीच
बिल्कुल पुख़्ता…
ये रिश्ते
रहते हैं दिलों के आसपास
घूमते हैं साँसों में
हवाओं की तरह
जीते हैं अपनी ही धुरी पर
जिस तरह से जीता है एक आकाश
अपने मौन से
करता हुआ संवाद…
ye rishte
kitaben nahin
jo paDhkar
kar diye jayen khatm
na hi mausmon ki tarah
badal jane ka koi zaruri sakshy
na hi tutte hain
shakh se tute hue patton ki tarah
na hi barish ki bundon se
ho jate hain jazb
garam tapti zamin par
ek sachchi astha
wishwas, prem
aur
Dher sara tyag
kisi bhi diwar ko Dhaha sakte hain
jo uth chuki
pushtaini
jarjar rishton ke beech
bilkul pukhta…
ye rishte
rahte hain dilon ke asapas
ghumte hain sanson mein
hawaon ki tarah
jite hain apni hi dhuri par
jis tarah se jita hai ek akash
apne maun se
karta hua sanwad…
ye rishte
kitaben nahin
jo paDhkar
kar diye jayen khatm
na hi mausmon ki tarah
badal jane ka koi zaruri sakshy
na hi tutte hain
shakh se tute hue patton ki tarah
na hi barish ki bundon se
ho jate hain jazb
garam tapti zamin par
ek sachchi astha
wishwas, prem
aur
Dher sara tyag
kisi bhi diwar ko Dhaha sakte hain
jo uth chuki
pushtaini
jarjar rishton ke beech
bilkul pukhta…
ye rishte
rahte hain dilon ke asapas
ghumte hain sanson mein
hawaon ki tarah
jite hain apni hi dhuri par
jis tarah se jita hai ek akash
apne maun se
karta hua sanwad…
स्रोत :
रचनाकार : प्रतिभा चौहान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.