थोड़ा ही पानी है / बड़े ताल में
बस तला-तला भरा हुआ
पास में बैठे—थके-हारे
पक्षियों का झुंड—गीले करता अपने कंठ
कौन जाने क्यों—एक पक्षी
ताकता रहता है लगातार / ख़ाली सूखा ताल
रह-रहकर करने लगता है / अथक चक-चक
एक ही सुरताल में मानो
किसी की राह देखता—आवाज़ लगाता / करता जाप
फिर अबोला होकर / तकता है सूखा ताल
सभी के साथ दीखता / नितांत अकेला
दो बूँदें टपकती हैं / मेरी आँखों से
जिनमें कितनी ही बनती-बिगड़ती छवियाँ
और अगले ही पल उड़ गए सारे पक्षी
ओझल हो गए आकाश में
वह पक्षी बैठा है अभी तक
किसकी प्रतीक्षा में?
क्या इसका कोई घोंसला
है भी कि नहीं?
thoDa hi pani hai / baDe tal mein
bus tala tala bhara hua
pas mein baithe—thake hare
pakshiyon ka jhunD—gile karta apne kanth
kaun jane kyon—ek pakshi
takta rahta hai lagatar / khali sukha tal
rah rahkar karne lagta hai / athak chak chak
ek hi surtal mein mano
kisi ki rah dekhta—awaz lagata / karta jap
phir abola hokar / takta hai sukha tal
sabhi ke sath dikhta / nitant akela
do bunden tapakti hain / meri ankhon se
jinmen kitni hi banti bigaDti chhawiyan
aur agle hi pal uD gaye sare pakshi
ojhal ho gaye akash mein
wo pakshi baitha hai abhi tak
kiski pratiksha mein?
kya iska koi ghonsla
hai bhi ki nahin?
thoDa hi pani hai / baDe tal mein
bus tala tala bhara hua
pas mein baithe—thake hare
pakshiyon ka jhunD—gile karta apne kanth
kaun jane kyon—ek pakshi
takta rahta hai lagatar / khali sukha tal
rah rahkar karne lagta hai / athak chak chak
ek hi surtal mein mano
kisi ki rah dekhta—awaz lagata / karta jap
phir abola hokar / takta hai sukha tal
sabhi ke sath dikhta / nitant akela
do bunden tapakti hain / meri ankhon se
jinmen kitni hi banti bigaDti chhawiyan
aur agle hi pal uD gaye sare pakshi
ojhal ho gaye akash mein
wo pakshi baitha hai abhi tak
kiski pratiksha mein?
kya iska koi ghonsla
hai bhi ki nahin?
स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक भारतीय कविता संचयन राजस्थानी (1950-2010) (पृष्ठ 82)
रचनाकार : वासु आचार्य
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.