लोग इतना बोलते क्यों हैं
क्या अंदर से इनकी आवाज़ें सिली हुई हैं
शोर है कितना
कि हर कोई आतंकित या डरा हुआ है
सुबह की चाय पर टोस्ट कुतरने से
कुछ हरकत भर होती है यानी ख़बरों में
कहीं गोली चली होती है या अस्पताल में
घायल सिर पचास या हज़ार होते हैं
दिन होने से रात के होने तक
मैं कहाँ-कहाँ होता हूँ यानी मैं
कहीं नहीं होता हूँ
सिर्फ़ संबंधों में अपनी रात की सुरक्षा में
होता हूँ
नाम गिनने या गिनाने से क्या होगा
घृणा की तस्वीर ही तो बनेगी
ख़तरों में शिकायत से मौसम तो बदलेगा नहीं
न होगा वह जो मैं चाहता हूँ
यानी मैं हर किसी की रोटी
उसकी जेब में चाहता हूँ
यानी मैं उसकी बात को उस के दिल से जोड़कर
कहने का एक मौसम चाहता हूँ
log itna bolte kyon hain
kya andar se inki awazen sili hui hain
shor hai kitna
ki har koi atankit ya Dara hua hai
subah ki chay par toast kutarne se
kuch harkat bhar hoti hai yani khabron mein
kahin goli chali hoti hai ya aspatal mein
ghayal sir pachas ya hazar hote hain
din hone se raat ke hone tak
main kahan kahan hota hoon yani main
kahin nahin hota hoon
sirf sambandhon mein apni raat ki suraksha mein
hota hoon
nam ginne ya ginane se kya hoga
ghrina ki taswir hi to banegi
khatron mein shikayat se mausam to badlega nahin
na hoga wo jo main chahta hoon
yani main har kisi ki roti
uski jeb mein chahta hoon
yani main uski baat ko us ke dil se joDkar
kahne ka ek mausam chahta hoon
log itna bolte kyon hain
kya andar se inki awazen sili hui hain
shor hai kitna
ki har koi atankit ya Dara hua hai
subah ki chay par toast kutarne se
kuch harkat bhar hoti hai yani khabron mein
kahin goli chali hoti hai ya aspatal mein
ghayal sir pachas ya hazar hote hain
din hone se raat ke hone tak
main kahan kahan hota hoon yani main
kahin nahin hota hoon
sirf sambandhon mein apni raat ki suraksha mein
hota hoon
nam ginne ya ginane se kya hoga
ghrina ki taswir hi to banegi
khatron mein shikayat se mausam to badlega nahin
na hoga wo jo main chahta hoon
yani main har kisi ki roti
uski jeb mein chahta hoon
yani main uski baat ko us ke dil se joDkar
kahne ka ek mausam chahta hoon
स्रोत :
पुस्तक : निषेध (पृष्ठ 93)
संपादक : जगदीश चतुर्वेदी
रचनाकार : श्याम परमार
प्रकाशन : ज्ञान भारती प्रकाशन
संस्करण : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.