पतझड़ में नंगे हो गए पेड़ हो सकते हो
ठूँठ तो तुम नहीं ही हो मेरे दोस्त!
तुम्हें याद है न
गए शिशिर में मिले थे हम-तुम
और कितनी देर तक सोचते रहे थे
एक-दूसरे के बारे में
आज भी जब सर्द हवाएँ चलती हैं
तो उड़ती हुई धूल और पत्तों में
सबसे साफ़ और स्पष्ट
दिखाई देता है तुम्हारा ही चेहरा
किन्हीं फाड़ दिए गए पत्रों की स्मृतियों की
कौन-सी दस्तावेज़ है तुम्हारे पास?
‘इस शून्य तापमान में
कितनी गर्म और मुलायम हैं
तुम्हारी हथेलियाँ'—
ये कुछ ऐसी बातें हैं।
जो मुझे आश्चर्यचकित करती हैं
गर्म हवाओं से स्वच्छंद हो सकते हो
अंधड़ तो तुम नहीं ही हो मेरे दोस्त!
हम एक बर्फ़ीली नदी में यात्रा कर रहे हैं
अक्सर अपनी घुटती साँसों से
मैं तुम्हारे बारे में सोचता हूँ
कहाँ से लाते हो ऑक्सीजन
कहाँ से पाते हो इतनी ऊर्जा
एक मुँहफट किसान हो सकते हो
गँवार तो तुम नहीं ही हो मेरे दोस्त!
patjhaD mein nange ho gaye peD ho sakte ho
thoonth to tum nahin hi ho mere dost!
tumhein yaad hai na
gaye shishir mein mile the hum tum
aur kitni der tak sochte rahe the
ek dusre ke bare mein
aj bhi jab sard hawayen chalti hain
to uDti hui dhool aur patton mein
sabse saf aur aspasht
dikhai deta hai tumhara hi chehra
kinhin phaD diye gaye patron ki smritiyon ki
kaun si dastawez hai tumhare pas?
‘is shunya tapaman mein
kitni garm aur mulayam hain
tumhari hatheliyan—
ye kuch aisi baten hain
jo mujhe ashcharyachkit karti hain
garm hawaon se swachchhand ho sakte ho
andhaD to tum nahin hi ho mere dost!
hum ek barfili nadi mein yatra kar rahe hain
aksar apni ghutti sanson se
main tumhare bare mein sochta hoon
kahan se late ho oxygen
kahan se pate ho itni urja
ek munhaphat kisan ho sakte ho
ganwar to tum nahin hi ho mere dost!
patjhaD mein nange ho gaye peD ho sakte ho
thoonth to tum nahin hi ho mere dost!
tumhein yaad hai na
gaye shishir mein mile the hum tum
aur kitni der tak sochte rahe the
ek dusre ke bare mein
aj bhi jab sard hawayen chalti hain
to uDti hui dhool aur patton mein
sabse saf aur aspasht
dikhai deta hai tumhara hi chehra
kinhin phaD diye gaye patron ki smritiyon ki
kaun si dastawez hai tumhare pas?
‘is shunya tapaman mein
kitni garm aur mulayam hain
tumhari hatheliyan—
ye kuch aisi baten hain
jo mujhe ashcharyachkit karti hain
garm hawaon se swachchhand ho sakte ho
andhaD to tum nahin hi ho mere dost!
hum ek barfili nadi mein yatra kar rahe hain
aksar apni ghutti sanson se
main tumhare bare mein sochta hoon
kahan se late ho oxygen
kahan se pate ho itni urja
ek munhaphat kisan ho sakte ho
ganwar to tum nahin hi ho mere dost!
स्रोत :
पुस्तक : पहला उपदेश (पृष्ठ 15)
रचनाकार : अनिल कुमार सिंह
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.