एक हमारा ऊँचा झंडा, एक हमारा देश,
इस झंडे के नीचे निश्चित एक अमिट उद्देश।
देखा जागृति के प्रभात में एक स्वतंत्र प्रकाश;
फैला है सब ओर एक-सा एक अतुल उल्लास।
कोटि-कोटि कंठों में कूजित एक विजय-विश्वास,
मुक्त पवन में उड़ उठने का एक अमर अभिलाष!
सबका सुहित, सुमंगल सबका, नहीं वैर-विद्वेष,
एक हमारा ऊँचा झंडा, एक हमारा देश।
कितने वीरों ने कर-करके प्राणों का बलिदान,
मरते-मरते भी गाया है इस झंडे का गान।
रक्खेंगे ऊँचे उठ हम भी अक्षय इसकी आन,
चक्खेंगे इसकी छाया में रस-विष एक समान।
एक हमारी सुख-सुविधा है, एक हमारा क्लेश,
एक हमारा ऊँचा झंडा, एक हमारा देश।
मातृभूमि की मानवता का जाग्रत जयजयकार;
फहर उठे ऊँचे से ऊँचे यह अविरोध, उदार।
साहस, अभय और पौरुष का यह सजीव संचार;
लहर उठे जन-जन के मन में सत्य अहिंसा प्यार!
अगनित धाराओं का संगम, मिलन-तीर्थ-संदेश:
एक हमारा ऊँचा झंडा, एक हमारा देश।
ek hamara uncha jhanDa, ek hamara desh,
is jhanDe ke niche nishchit ek amit uddesh
dekha jagriti ke parbhat mein ek swtantr parkash;
phaila hai sab or ek sa ek atul ullas
koti koti kanthon mein kujit ek wijay wishwas,
mukt pawan mein uD uthne ka ek amar abhilash!
sabka suhit, sumangal sabka, nahin wair widwesh,
ek hamara uncha jhanDa, ek hamara desh
kitne wiron ne kar karke pranon ka balidan,
marte marte bhi gaya hai is jhanDe ka gan
rakkhenge unche uth hum bhi akshay iski aan,
chakkhenge iski chhaya mein ras wish ek saman
ek hamari sukh suwidha hai, ek hamara klesh,
ek hamara uncha jhanDa, ek hamara desh
matribhumi ki manawta ka jagrat jayajaykar;
fahar uthe unche se unche ye awirodh, udar
sahas, abhai aur paurush ka ye sajiw sanchar;
lahr uthe jan jan ke man mein saty ahinsa pyar!
agnit dharaon ka sangam, milan teerth sandeshah

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.