कोई दिलकश नगमा जिसे सुनते हुए तुम
खो जाते हो किसी अनंत में
बजने लगती है सिंफ़नी-सी कहीं भीतर
उड़ने से लगते हो दूर गगन में
बिन पंखों के भी
ख़ुशबू फैल जाती है चारों ओर
रात की रानी-सी
सुनाई देने लगती है
नदी की कल-कल, छल-छल
और हवा की सन-सन
बिना नदी
बिना हवा के भी
उतरने लगते हैं दृश्य
देखे-अनदेखे
फूटे नहीं होंगे इसके बोल
किसी एक पल में
डूबा होगा कोई कवि अतल गहराइयों में
मन की
चासनी में भीगे होंगे ये भाव
विवेक के छाजन में छनकर
निकले होंगे बाहर
बेचैन रहा होगा कवि कई-कई दिनों तक
मथता रहा होगा दिल की मथनी में
मस्तिष्क की फिरकी से
तब जाकर पाए होंगे सटीक शब्द
उलटता-सुलटता रहा होगा वाक्यों को
पाने को एक सटीक लय
तब भी रह गया होगा कुछ अनकहा
संगीतबद्ध करने को इसे
उतरा होगा एक संगीतकार
धुनों के सागर में
एक धुन की तलाश में
लहरों की तरह आती-जाती रही होंगी
अनेकानेक धुनें
कुछ जानी कुछ अनजानी
तब मिली होगी एक धुन हृदयस्पर्शी
स्वर देने को फिर
उलझा होगा एक गायक
स्वरों के तानों-बानों के बीच
सिरा हाथ लगा होगा जब एक सही स्वर का
किया होगा रियाज़ दिन-रात
कितने सुरों के उतार-चढ़ाव के बाद
पाया होगा अपना एक सुर
साथ रहा होगा बहुत सारे वादकों का
जिन्हें जानते भी नहीं हम
और तब बना होगा एक दिलकश नग़मा।
koi dilkash nagma jise sunte hue tum
kho jate ho kisi anant mein
bajne lagti hai simfani si kahin bhitar
uDne se lagte ho door gagan mein
bin pankhon ke bhi
khushbu phail jati hai charon or
raat ki rani si
sunai dene lagti hai
nadi ki kal kal, chhal chhal
aur hawa ki san san
bina nadi
bina hawa ke bhi
utarne lagte hain drishya
dekhe andekhe
phute nahin honge iske bol
kisi ek pal mein
Duba hoga koi kawi atal gahraiyon mein
man ki
chasni mein bhige honge ye bhaw
wiwek ke chhajan mein chhankar
nikle honge bahar
bechain raha hoga kawi kai kai dinon tak
mathta raha hoga dil ki mathni mein
mastishk ki phirki se
tab jakar pae honge satik shabd
ulatta sulatta raha hoga wakyon ko
pane ko ek satik lai
tab bhi rah gaya hoga kuch anakha
sangitbaddh karne ko ise
utra hoga ek sangitkar
dhunon ke sagar mein
ek dhun ki talash mein
lahron ki tarah aati jati rahi hongi
anekanek dhunen
kuch jani kuch anjani
tab mili hogi ek dhun hridayasparshi
swar dene ko phir
uljha hoga ek gayak
swron ke tanon banon ke beech
sira hath laga hoga jab ek sahi swar ka
kiya hoga riyaz din raat
kitne suron ke utar chaDhaw ke baad
paya hoga apna ek sur
sath raha hoga bahut sare wadkon ka
jinhen jante bhi nahin hum
aur tab bana hoga ek dilkash naghma
koi dilkash nagma jise sunte hue tum
kho jate ho kisi anant mein
bajne lagti hai simfani si kahin bhitar
uDne se lagte ho door gagan mein
bin pankhon ke bhi
khushbu phail jati hai charon or
raat ki rani si
sunai dene lagti hai
nadi ki kal kal, chhal chhal
aur hawa ki san san
bina nadi
bina hawa ke bhi
utarne lagte hain drishya
dekhe andekhe
phute nahin honge iske bol
kisi ek pal mein
Duba hoga koi kawi atal gahraiyon mein
man ki
chasni mein bhige honge ye bhaw
wiwek ke chhajan mein chhankar
nikle honge bahar
bechain raha hoga kawi kai kai dinon tak
mathta raha hoga dil ki mathni mein
mastishk ki phirki se
tab jakar pae honge satik shabd
ulatta sulatta raha hoga wakyon ko
pane ko ek satik lai
tab bhi rah gaya hoga kuch anakha
sangitbaddh karne ko ise
utra hoga ek sangitkar
dhunon ke sagar mein
ek dhun ki talash mein
lahron ki tarah aati jati rahi hongi
anekanek dhunen
kuch jani kuch anjani
tab mili hogi ek dhun hridayasparshi
swar dene ko phir
uljha hoga ek gayak
swron ke tanon banon ke beech
sira hath laga hoga jab ek sahi swar ka
kiya hoga riyaz din raat
kitne suron ke utar chaDhaw ke baad
paya hoga apna ek sur
sath raha hoga bahut sare wadkon ka
jinhen jante bhi nahin hum
aur tab bana hoga ek dilkash naghma
स्रोत :
पुस्तक : दूसरा युवा द्वादश (पृष्ठ 175)
संपादक : निरंजन श्रोत्रिय
रचनाकार : महेश चंद्र पुनेठा
प्रकाशन : बोधि प्रकाशन
संस्करण : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.