एक दिन सबको जाना ही होता है
और आप नितांत अकेले पड़ जाते हैं
फिर क्या करते हैं
क्या करते हैं जब कोई बातें करने वाला
और बेमतलब का लड़ने वाला न हो
आप बहुत कुछ सुनना चाहते हों
और कोई कहने वाला न हो
मैं अंतरात्मा के कुएँ में झाँकता हूँ
अपनी परछाइयों पर कंकड़ मारता हूँ
और अपने ही चेहरे को ध्यान से देखता हूँ
जो पानी की तरंगों पर उतराती हैं
फैलती-सिकुड़ती हैं
और धरती की छाती पर
रोपाता हूँ एक पौधा
फूलों के खिलने का इंतज़ार करता हूँ
बच्चों से दोस्ती करता हूँ
उनके बड़े होने का वक़्त है
वे इतनी भी जल्दी छोड़कर नहीं जाते
मुझे इंतज़ार पसंद है
मैंने तुम्हारे इंतज़ार में भी लंबी उम्र काटी है।
ek din sabko jana hi hota hai
aur aap nitant akele paD jate hain
phir kya karte hain
kya karte hain jab koi baten karne vala
aur bematlab ka laDne vala na ho
aap bahut kuch sunna chahte hon
aur koi
kahne vala na ho
main
antratma ke kuen mein jhankta hoon
apni parchhaiyon par kankaD marta hoon
aur
apne hi chehre ko dhyaan se dekhta hoon
jo pani ki tarangon par utrati hain
failti sikuDti hain
aur
dharti ki chhati par
ropata hoon ek paudha
phulon ke khilne ka intzaar karta hoon
bachchon se dosti karta hoon
unke baDe hone ke vakt hai
ve itni bhi jaldi chhoD kar nahin jate
mujhe intzaar pasand hai
mainne tumhare intzaar mein bhi lambi umr kati hai.
ek din sabko jana hi hota hai
aur aap nitant akele paD jate hain
phir kya karte hain
kya karte hain jab koi baten karne vala
aur bematlab ka laDne vala na ho
aap bahut kuch sunna chahte hon
aur koi
kahne vala na ho
main
antratma ke kuen mein jhankta hoon
apni parchhaiyon par kankaD marta hoon
aur
apne hi chehre ko dhyaan se dekhta hoon
jo pani ki tarangon par utrati hain
failti sikuDti hain
aur
dharti ki chhati par
ropata hoon ek paudha
phulon ke khilne ka intzaar karta hoon
bachchon se dosti karta hoon
unke baDe hone ke vakt hai
ve itni bhi jaldi chhoD kar nahin jate
mujhe intzaar pasand hai
mainne tumhare intzaar mein bhi lambi umr kati hai.
स्रोत :
रचनाकार : अरमान आनंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.