हिंदुत्व ने हमेशा
ब्राह्मणों का ही
भला किया है
इसलिए आज से
वे ही इसे सँभालें
जैसे भी जी चाहे ओढ़ें
जैसे भी जी चाहे बिछाएँ
चाहे पूजा घर में रखकर
इसकी आरती उतारें
चाहे शोकेस में रखकर
शोपीस की तरह सजाएँ
अथवा चाहे सिर पर रखकर
गली और सड़कों पर
नाचते फिरें
लेकिन देश के
चालीस करोड़ दलितों की तो
अब इसमें थोड़ी-सी भी
दिलचस्पी नहीं रही
जिन्हें कि यह केवल
जूतियाँ बनाने भर के लिए
झाड़ू लगाने भर के लिए
हल चलाने भर के लिए
और दंगे कराने भर के लिए
हिंदू समझता है
और जिन्हें
ब्रह्मा के पैरों से
पैदा हुए कह कर
परिभाषित करता है
और इसीलिए
बराबर बैठाने की बजाय
हमेशा अपने पैरों में
स्थान देता है
मान और सम्मान को
अपने पैरों तले
कुचलता है
और इन्हीं पैरों पर
ख़ुद ही कभी
कुल्हाड़ी मारने से
बाज़ नहीं आया
अब ये
चालीस करोड़ दलित रूपी पैर
कट कर
अलग होना स्वीकार
कर चुके हैं
हिंदुत्व के साथ
जुड़े रहने का मोह
अब पूरी तरह
छोड़ चुके हैं
इनके अलग होने के
दर्द का एहसास
इसे उस दिन होगा
जिस दिन इसे
एक अपाहिज धर्म बनकर
दुनिया में जीना पड़ेगा
और तनिक सहारे भर के लिए
बैसाखी तक नसीब नहीं होगी
उस दिन यह हिंदुत्व
दुनिया का
सबसे निरीह धर्म होगा!
hindutw ne hamesha
brahmnon ka hi
bhala kiya hai
isliye aaj se
we hi ise sanbhalen
jaise bhi ji chahe oDhen
jaise bhi ji chahe bichhayen
chahe puja ghar mein rakhkar
iski aarti utaren
chahe shokes mein rakhkar
shopis ki tarah sajayen
athwa chahe sir par rakhkar
gali aur saDkon par
nachte phiren
lekin desh ke
chalis karoD daliton ki to
ab ismen thoDi si bhi
dilchaspi nahin rahi
jinhen ki ye kewal
jutiyan banane bhar ke liye
jhaDu lagane bhar ke liye
hal chalane bhar ke liye
aur dange karane bhar ke liye
hindu samajhta hai
aur jinhen
brahma ke pairon se
paida hue kah kar
paribhashit karta hai
aur isiliye
barabar baithane ki bajay
hamesha apne pairon mein
sthan deta hai
man aur samman ko
apne pairon tale
kuchalta hai
aur inhin pairon par
khu hi kabhi
kulhaDi marne se
baz nahin aaya
ab ye
chalis karoD dalit rupi pair
kat kar
alag hona swikar
kar chuke hain
hindutw ke sath
juDe rahne ka moh
ab puri tarah
chhoD chuke hain
inke alag hone ke
dard ka ehsas
ise us din hoga
jis din ise
ek apahij dharm bankar
duniya mein jina paDega
aur tanik sahare bhar ke liye
baisakhi tak nasib nahin hogi
us din ye hindutw
duniya ka
sabse nirih dharm hoga!
hindutw ne hamesha
brahmnon ka hi
bhala kiya hai
isliye aaj se
we hi ise sanbhalen
jaise bhi ji chahe oDhen
jaise bhi ji chahe bichhayen
chahe puja ghar mein rakhkar
iski aarti utaren
chahe shokes mein rakhkar
shopis ki tarah sajayen
athwa chahe sir par rakhkar
gali aur saDkon par
nachte phiren
lekin desh ke
chalis karoD daliton ki to
ab ismen thoDi si bhi
dilchaspi nahin rahi
jinhen ki ye kewal
jutiyan banane bhar ke liye
jhaDu lagane bhar ke liye
hal chalane bhar ke liye
aur dange karane bhar ke liye
hindu samajhta hai
aur jinhen
brahma ke pairon se
paida hue kah kar
paribhashit karta hai
aur isiliye
barabar baithane ki bajay
hamesha apne pairon mein
sthan deta hai
man aur samman ko
apne pairon tale
kuchalta hai
aur inhin pairon par
khu hi kabhi
kulhaDi marne se
baz nahin aaya
ab ye
chalis karoD dalit rupi pair
kat kar
alag hona swikar
kar chuke hain
hindutw ke sath
juDe rahne ka moh
ab puri tarah
chhoD chuke hain
inke alag hone ke
dard ka ehsas
ise us din hoga
jis din ise
ek apahij dharm bankar
duniya mein jina paDega
aur tanik sahare bhar ke liye
baisakhi tak nasib nahin hogi
us din ye hindutw
duniya ka
sabse nirih dharm hoga!
स्रोत :
पुस्तक : दलित निर्वाचित कविताएँ (पृष्ठ 164)
संपादक : कँवल भारती
रचनाकार : नवेंदु महर्षि
प्रकाशन : इतिहासबोध प्रकाशन
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.