सच्चाई सिर्फ़ यही नहीं कि
छूट गई है मेरी दुनिया
सच्चाई यह भी है कि
जी रहा हूँ
उसके बिना भी
विसंगतियों और अनिच्छाओं से भरी इस दुनिया ने
है मुझे पाला
बड़ा किया मुझे
इसी ने बताया मुझे कि
यह दुनिया मेरी नहीं है
कोई नहीं जानता
कहाँ छूट गई है मेरी दुनिया
कितना बिलख रहा हूँ
बेआवाज़
उसके बग़ैर
सिर्फ़ उसकी एक झलक के लिए
यह कैसी त्रासदी है कि
किसी साज़ में
किसी रंग में
किसी साँचे में
ढल नहीं पाती मेरी आवाज़
किसी कैनवस पर
चित्रित नहीं कर पाता कोई चित्रकार
मेरी आह
मेरी पीड़ा
मेरी भाषा
मेरे संसार का एक अदद मानचित्र।
sachchai sirf yahi nahin ki
chhoot gai hai meri duniya
sachchai ye bhi hai ki
ji raha hoon
uske bina bhi
wisangatiyon aur anichchhaon se bhari is duniya ne
hai mujhe pala
baDa kiya mujhe
isi ne bataya mujhe ki
ye duniya meri nahin hai
koi nahin janta
kahan chhoot gai hai meri duniya
kitna bilakh raha hoon
beawaz
uske baghair
sirf uski ek jhalak ke liye
ye kaisi trasadi hai ki
kisi saz mein
kisi rang mein
kisi sanche mein
Dhal nahin pati meri awaz
kisi canwas par
chitrit nahin kar pata koi chitrkar
meri aah
meri piDa
meri bhasha
mere sansar ka ek adad manachitr
sachchai sirf yahi nahin ki
chhoot gai hai meri duniya
sachchai ye bhi hai ki
ji raha hoon
uske bina bhi
wisangatiyon aur anichchhaon se bhari is duniya ne
hai mujhe pala
baDa kiya mujhe
isi ne bataya mujhe ki
ye duniya meri nahin hai
koi nahin janta
kahan chhoot gai hai meri duniya
kitna bilakh raha hoon
beawaz
uske baghair
sirf uski ek jhalak ke liye
ye kaisi trasadi hai ki
kisi saz mein
kisi rang mein
kisi sanche mein
Dhal nahin pati meri awaz
kisi canwas par
chitrit nahin kar pata koi chitrkar
meri aah
meri piDa
meri bhasha
mere sansar ka ek adad manachitr
स्रोत :
पुस्तक : इस नाउम्मीदी की कायनात में (पांडुलिपि)
रचनाकार : ऋतु कुमार ऋतु
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.