किसी चीज़ को रखने की जगह बनाते ही धूल
की जगह भी बन जाती, शयन कक्ष का पलंग
लगते ही उसके नीचे सोने लगी थी मृत्यु की
बिल्ली, हम आदतें थे एक दूसरे की और वस्तुएँ
थे वस्तुओं के साथ अपने रिश्ते में।
कितना भयावह है सोचना कि एक वाक्य
अपने सरलतम रूप में भी कभी समझा नहीं
जा पाएगा पूर्णता में, हम अजनबी थे अपनी
भाषा में, अपने गूँगेपन में रुँधे गले का रूपक
यह संसार।
कुछ आहटें बाहर की कुछ यातना के चित्र ठंड में
पहनने के ढेर सारे कोट और कई जोड़े जूते हमारे
पुरानेपन के गवाह जहाँ मालूम था कि धूप
आने पर क्या फैलाना है, क्या समेट लेना है
बारिश में।
kisi cheez ko rakhne ki jagah banate hi dhool
ki jagah bhi ban jati, shayan kaksh ka palang
lagte hi uske niche sone lagi thi mirtyu ki
billi, hum adten the ek dusre ki aur wastuen
the wastuon ke sath apne rishte mein
kitna bhayawah hai sochna ki ek waky
apne saraltam roop mein bhi kabhi samjha nahin
ja payega purnata mein, hum ajnabi the apni
bhasha mein, apne gungepan mein rundhe gale ka rupak
ye sansar
kuch ahten bahar ki kuch yatana ke chitr thanD mein
pahanne ke Dher sare coat aur kai joDe jute hamare
puranepan ke gawah jahan malum tha ki dhoop
ane par kya phailana hai, kya samet lena hai
barish mein
koi geet tha to yahin tha

स्रोत :
पुस्तक : धूल की जगह (पृष्ठ 18)
रचनाकार : महेश वर्मा
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.