इस बार दशहरे में फिर
हम जलाएँगे रावण
शायद इस बार
भ्रष्टाचार रूपी रावण की बारी है
उसे जलाकर हम मनाएँगे जश्न
बुराई पर अच्छाई की जीत का जश्न।
बुराई के बजाय
बुराई के प्रतीक को जलाकर
कितना ख़ुश होते हैं हम
और अगली सुबह से ही
अपने कारोबार को फिर
जीने लगते हैं वैसे
जैसे रोज़ जिया करते थे इससे पहले,
शराब पीकर सड़क पर
बेवजह रिक़्शे वाले को डाँटकर
उसे अन्ना बनने का
बेवक़ूफ़ी भरा मशवरा दे डालते हैं।
ख़ुद में बुराई ढूँढ़ने की बजाय
दुनिया को बुरा कहने से
कभी नहीं हिचकते हम
कंधे पर गुनाहों की पोटली लिए
दर-ब-दर भटकते हैं
मगर दूसरे को गाली देने से
बाज़ नहीं आते कभी भी।
काग़ज़ी रावण तो
मर जाता है हर साल
मगर
हमारे ज़हनो-दिल में रोज़
जन्म लेता है एक रावण।
जिस दिन हम ख़ुद को
गाली देना सीख लेंगे
उस दिन हमारे दिल का रावण भी
मर जाएगा ख़ुद-ब-ख़ुद।
is bar dashahre mein phir
hum jalayenge rawan
shayad is bar
bhrashtachar rupi rawan ki bari hai
use jalakar hum manaenge jashn
burai par achchhai ki jeet ka jashn
burai ke bajay
burai ke pratik ko jalakar
kitna khush hote hain hum
aur agli subah se hi
apne karobar ko phir
jine lagte hain waise
jaise roz jiya karte the isse pahle,
sharab pikar saDak par
bewajah riqshe wale ko Dantakar
use anna banne ka
bewaqufi bhara mashwara de Dalte hain
khu mein burai DhunDhane ki bajay
duniya ko bura kahne se
kabhi nahin hichakte hum
kandhe par gunahon ki potli liye
dar ba dar bhatakte hain
magar dusre ko gali dene se
baz nahin aate kabhi bhi
kaghazi rawan to
mar jata hai har sal
magar
hamare zahno dil mein roz
janm leta hai ek rawan
jis din hum khu ko
gali dena seekh lenge
us din hamare dil ka rawan bhi
mar jayega khu ba khu
is bar dashahre mein phir
hum jalayenge rawan
shayad is bar
bhrashtachar rupi rawan ki bari hai
use jalakar hum manaenge jashn
burai par achchhai ki jeet ka jashn
burai ke bajay
burai ke pratik ko jalakar
kitna khush hote hain hum
aur agli subah se hi
apne karobar ko phir
jine lagte hain waise
jaise roz jiya karte the isse pahle,
sharab pikar saDak par
bewajah riqshe wale ko Dantakar
use anna banne ka
bewaqufi bhara mashwara de Dalte hain
khu mein burai DhunDhane ki bajay
duniya ko bura kahne se
kabhi nahin hichakte hum
kandhe par gunahon ki potli liye
dar ba dar bhatakte hain
magar dusre ko gali dene se
baz nahin aate kabhi bhi
kaghazi rawan to
mar jata hai har sal
magar
hamare zahno dil mein roz
janm leta hai ek rawan
jis din hum khu ko
gali dena seekh lenge
us din hamare dil ka rawan bhi
mar jayega khu ba khu
स्रोत :
रचनाकार : वसीम अकरम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.