अनुच्चारण से प्रारंभ
तुम्हारी हमारी बातचीत
मानो कोई बच्चा दिखाता हो
अपनी वर्णमाला किसी दूसरे बच्चे को।
कहाँ था सचमुच
इतना बादल, इतना अँधेरा
और फिर इतने चाँद!
मादकता से भरपूर
दिख नहीं रही थी राह।
आघात सह नहीं पाओगी तभी
गाए नहीं थे गीत मैंने
साल दर साल,
कहे नहीं थे तुतलाकर
अपने भीगे-भीगे अक्षर।
भाषाएँ अंकुरित होने से पहले ही तो
आने लगी थी तुम्हारी महक
भला में कहाँ से लाया होता
बेणी बंधन का मंत्र!
अब तो रेगिस्तान के उस पार
दो फटी आँखें बन
मैं याद कर रहा हूँ अपनी ग़लती के समय की
लंबी-लंबी उसाँसों को
खोई हुई परछाइयों को
असहाय उद्वेग भरे क्षितिज में।
अब हम लौट चलें
भाषाहीन में।
अब कुछ कहूँगा तभी तो
तुम कहोगी पहले क्यों नहीं कहा
बिन कहे लौट जाने पर
क्या दोष दुर्बलताओं का होगा
समय द्वारा सहेजी बातों का होगा,
अपरिचित लहरों का होगा,
या दुखित मलय का होगा!!
anuchcharan se prarambh
tumhari hamari batachit
mano koi bachcha dikhata ho
apni warnamala kisi dusre bachche ko
kahan tha sachmuch
itna badal, itna andhera
aur phir itne chand!
madakta se bharpur
dikh nahin rahi thi rah
aghat sah nahin paogi tabhi
gaye nahin ye geet mainne
sal dar sal,
kahe nahin the tutlakar
apne bhige bhige akshar
bhashayen ankurit hone se pahle hi to
ane lagi thi tumhari mahak
bhata mein kahan se laya hota
beni bandhan ka mantr
ab to registan ke us par
do phati ankhen ban
main yaad kar raha hoon apni ghalati ke samay ki
lambi lambi usanson ko
asahaye udweg bhare kshaitij mein
ab hum laut chalen
bhashahin mein
ab kuch kahunga tabhi to
tum kahogi pahle kyon nahin kaha
bin kahe laut jane par
kya dosh durbaltaon ka hoga
samay dwara saheji baton ka hoga,
aprichit lahron ka hoga,
ya dukhit malay ka hoga!!
anuchcharan se prarambh
tumhari hamari batachit
mano koi bachcha dikhata ho
apni warnamala kisi dusre bachche ko
kahan tha sachmuch
itna badal, itna andhera
aur phir itne chand!
madakta se bharpur
dikh nahin rahi thi rah
aghat sah nahin paogi tabhi
gaye nahin ye geet mainne
sal dar sal,
kahe nahin the tutlakar
apne bhige bhige akshar
bhashayen ankurit hone se pahle hi to
ane lagi thi tumhari mahak
bhata mein kahan se laya hota
beni bandhan ka mantr
ab to registan ke us par
do phati ankhen ban
main yaad kar raha hoon apni ghalati ke samay ki
lambi lambi usanson ko
asahaye udweg bhare kshaitij mein
ab hum laut chalen
bhashahin mein
ab kuch kahunga tabhi to
tum kahogi pahle kyon nahin kaha
bin kahe laut jane par
kya dosh durbaltaon ka hoga
samay dwara saheji baton ka hoga,
aprichit lahron ka hoga,
ya dukhit malay ka hoga!!
स्रोत :
पुस्तक : विपुल दिगंत (पृष्ठ 94)
रचनाकार : गोपालकृष्ण रथ
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2019
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.