आज यदि भूल जाऊँ निषेध तुम्हारा
(यह क्या मेरा दोष सखि, यह क्या मेरा दोष)
लाज के बंधनों को यदि आज तोड़ दूँ
(यह क्या मेरा दोष सखि, यह क्या मेरा दोष)।
पौष के स्वर्णिम आलोकपूर्ण खेतों में
आकाश के बाहु जहाँ धरती को छूते हैं
दृष्टि डालो उस ओर—वहाँ नहीं तनिक भी अंतराल।
(यह क्या मेरा दोष)।
आज यदि और भी काली जान पड़े तुम्हारी आँखें
(यह क्या मेरी भूल सखि, यह क्या मेरी भूल)
अधरों पर उदार हाथ बना रहे साकी
(यह क्या मेरी भूल सखि, यह क्या मेरी भूल)।
यह जो चाँद के रस से मतवाली पृथ्वी
स्फुरित होती बार-बार जिसकी क्षीण नीबी
जान लो, जान लो : सखि, वह नही एकाकी।
(यह क्या मेरी भूल)।
आज यदि और भी घनी जान पड़े तुम्हारी भौंहे
(इसके लिए क्या मेरे नयन दायी, क्या मेरे नयन)
रंग में रस में बिखेर रहा है अगरु तुम्हारा केशपाश,
(इसके लिए क्या मेरे नयन दायी, क्या मेरे नयन)।
वह श्याम गिरिचूड़ा देती किसका आभास?
वनलेखा ने पहनाया उसको नील बास
कह सकता कौन, कहाँ कामना का आरंभ?
(क्या मेरा दोष?)
क्यों बिखराता अबीर परिधान तुम्हारा?
(यह क्या अकारण ही सखि, यह क्या अकारण)
नशे में विभोर हैं कवि के नयन दोनों!
(यह क्या अकारण ही सखि, यह क्या अकारण)!
दृष्टि डालो वन-वन में यह कैसा समारोह
किंशुक सेमल शाल बिखेर रहे हैं मोह
रतिविहीन मदन को कर रहे मत्त!
(यह क्या अकारण!)
आज यदि नयन तुम्हारे तज चपलता
(यह क्या अनुमान भर, केवल अनुमान)
मन से कानोंकान कहते कितनी बातें
(यह क्या अनुमान भर, केवल अनुमान)।
देखो आज चकवा-चकवी का परिचय
कौन-सा आवेश किए दोनों को मुखर आज
वायु के झोंके-झोंके में आज यह कैसी तरलता!
(केवल अनुमान)
तुम्हारी हँसी में क्यों झरते जूही के फूल,
(यह किसका दोष सखि, यह किसका दोष?)
दोनों नयन काले क्यों और अधर रातें
(यह किसका दोष सखि, यह किसका दोष?)
जल में न थीं लहरें मुखर नदी के
उस पार का वन था झिल्लिबघिर
ऐसे समय ऐसी जगह होती ही है भूल।
(होती ही है भूल।)
तुम मनोरम सखि धरा मनोहर
(क्यो ऐसा संयोग, ऐसा संयोग)
किस कारण दोनों ने मिल किया यह षडयंत्र!
(क्यों ऐसा संयोग, ऐसा संयोग)।
जाल बिछाकर विहग फाँसना और दोष देना उसको
समझ नहीं आता यह कैसा है न्याय
समझ नहीं आता तुम अपनी हो कि पर?
(यह कैसा संयोग )
नहीं भूल नहीं दोष, यह ठहरा यौवन
(किसका दोष किसकी भूल रहने दो यह विचार)
एक ही जाल में फँसा दोनों का मन
(किसका दोष किसकी भूल रहने दो यह विचार)।
खींचो तुम एक ओर और मैं दूसरी ओर
उतना ही कठोर हो कसता जाता बंधन
कौन जानता था कि वेदना मधुर इतनी?
( रहने दो यह विचार)
कौन जानता था कि प्रेम प्रखर तलवार
(कौन जानता था, सभी चाहते अनजाने)
हँसी में हुई प्रखर दोनों ओर धार
(कौन जानता था, सभी चाहते अनजाने)।
हृदय से झरती बूँदें तरल शोणी की,
अधरों पर बनाए रखती रेखा हँसी की
प्रेम की है धार प्रखर और मूँठ सुनहरी।
(कौन जानता था हाथ)
दोनों का है दोष एक और एक ही भूल
(यह नहीं अनुमान और केवल अनुमान)
बिंधा दोनों के एक ही वेदना का शूल
(यह नहीं अनुमान और केवल अनुमान)।
प्रखर दाह में गलकर दोनों के मन ने
युगल देह-संपुट में किया है सृजन
वाणीमय एक मुक्ता-फूल।
(यह नहीं अनुमान और अनुमान)।
aaj yadi bhool jaun nishaedh tumhara
(yah kya mera dosh sakhi, ye kya mera dosh)
laaj ke badhno ko yadi aaj toD doon
(yah kya mera dosh sakhi, ye kya mera dosh).
paush ke svarnaim alokpurn kheton mein
akash ke bahu jahan dharti ko chhute hain
drishti Dalo us or—vahan nahin tanik bhi antral.
(yah kya mera dosh).
aaj yadi aur bhi kali jaan paDe tumhari ankhen
(yah kya meri bhool sakhi, ye kya meri bhool)
adhro par udaar haath bana rahe saki
(yah kya meri bhool sakhi, ye kya meri bhool).
ye jo chaand ke ras se matvali prithvi
sphurit hoti baar baar jiski kshain nibi
jaan lo, jaan lohasakhi, wo nahi ekaki.
(yah kya meri bhool).
aaj yadi aur bhi ghani jaan paDe tumhari bhaunhe
(iske liye kya mere nayan dayi, kya mere nayan)
rang mein ras mein bikher raha hai agaru tumhara keshpash,
(iske liye kya mere nayan dayi, kya mere nayan).
wo shyaam girichuDa deti kiska abhas
vanlekha ne pahnaya usko neel baas
kah sakta kaun, kahan kamna ka arambh
(kya mera dosh?)
kyon bikhrata abir paridhan tumhara?
(yah kya akaran hi sakhi, ye kya akaran)
nashe mein vibhor hain kavi ke nayan donon!
(yah kya akaran hi sakhi, ye kya akaran)!
drishti Dalo van van mein ye kaisa samaroh
kinshuk senmal shaal bikher rahe hain moh
rativihin madan ko kar rahe matt!
(yah kya akaran!)
aaj yadi nayan tumhare taj chapalta
(yah kya anuman bhar, keval anuman)
man se kanokan kahte kitni baten
(yah kya anuman bhar, keval anuman).
dekho aaj chakva chakvi ka parichai
kaun sa avesh kiye donon ko mukhar aaj
vayu ke jhoke jhoke mein aaj ye kaisi taralta!
(keval anuman)
numhari hansi mein kyo jharte juhi ke phool,
(yah kiska dosh sakhi, ye kiska dosh?)
donon nayan kale kyon aur adhar rate
(yah kiska dosh sakhi, ye kiska dosh?)
jal mein na theen lahre mukhar nadi ke
us paar ka van tha jhillibghir
aise samay aisi jagah hoti hi hai bhool.
(hoti hi hai bhool. )
tum manoram sakhi dhara manohar
(kyo aisa sanyog, aisa sanyog)
kis karan donon ne mil kiya ye shaDyantr!
(kyon aisa sanyog, aisa sanyog).
jaal bichhakar vihag phansana aur dosh dena usko
samajh nahin aata ye kaisa hai nyaay
samajh nahin aata tum apni ho ki par?
(yah kaisa sanyog )
nahin bhool nahi dosh, ye thahra yauvan
(kiska dosh kiski bhool rahne do ye vichar)
ek hi jaal mein phansa donon ka man
(kiska dosh kiski bhool rahne do ye vichar).
khincho tum ek or aur main dusri or
utna hi kathor ho kasta jata bandhan
kaun janta tha ki vedna madhur itni?
( rahne do ye vichar)
kaun janta tha ki prem prakhar talvar
(kaun janta tha, sabhi chahte anjane)
hansi mein hui prakhar donon or dhaar
(kaun janta tha, sabhi chahte anjane).
hirdai se jharti bunden taral shoni ki,
adhron par banaye rakhti rekha hansi ki
prem ki hai dhaar prakhar aur mooth sunahri.
(kaun janta tha haath)
ek doshe dohe doshi, ek bhule bhul,
(yah nahin anuman aur keval anuman)
bindha donon ke ek hi vedna ka shool
(yah nahin anuman aur keval anuman).
prakhar daah mein galkar donon ke man ne
yugal deh samput mein kiya hai srijan
vanimay ek mukta phool.
(yah nahin anuman aur anuman).
aaj yadi bhool jaun nishaedh tumhara
(yah kya mera dosh sakhi, ye kya mera dosh)
laaj ke badhno ko yadi aaj toD doon
(yah kya mera dosh sakhi, ye kya mera dosh).
paush ke svarnaim alokpurn kheton mein
akash ke bahu jahan dharti ko chhute hain
drishti Dalo us or—vahan nahin tanik bhi antral.
(yah kya mera dosh).
aaj yadi aur bhi kali jaan paDe tumhari ankhen
(yah kya meri bhool sakhi, ye kya meri bhool)
adhro par udaar haath bana rahe saki
(yah kya meri bhool sakhi, ye kya meri bhool).
ye jo chaand ke ras se matvali prithvi
sphurit hoti baar baar jiski kshain nibi
jaan lo, jaan lohasakhi, wo nahi ekaki.
(yah kya meri bhool).
aaj yadi aur bhi ghani jaan paDe tumhari bhaunhe
(iske liye kya mere nayan dayi, kya mere nayan)
rang mein ras mein bikher raha hai agaru tumhara keshpash,
(iske liye kya mere nayan dayi, kya mere nayan).
wo shyaam girichuDa deti kiska abhas
vanlekha ne pahnaya usko neel baas
kah sakta kaun, kahan kamna ka arambh
(kya mera dosh?)
kyon bikhrata abir paridhan tumhara?
(yah kya akaran hi sakhi, ye kya akaran)
nashe mein vibhor hain kavi ke nayan donon!
(yah kya akaran hi sakhi, ye kya akaran)!
drishti Dalo van van mein ye kaisa samaroh
kinshuk senmal shaal bikher rahe hain moh
rativihin madan ko kar rahe matt!
(yah kya akaran!)
aaj yadi nayan tumhare taj chapalta
(yah kya anuman bhar, keval anuman)
man se kanokan kahte kitni baten
(yah kya anuman bhar, keval anuman).
dekho aaj chakva chakvi ka parichai
kaun sa avesh kiye donon ko mukhar aaj
vayu ke jhoke jhoke mein aaj ye kaisi taralta!
(keval anuman)
numhari hansi mein kyo jharte juhi ke phool,
(yah kiska dosh sakhi, ye kiska dosh?)
donon nayan kale kyon aur adhar rate
(yah kiska dosh sakhi, ye kiska dosh?)
jal mein na theen lahre mukhar nadi ke
us paar ka van tha jhillibghir
aise samay aisi jagah hoti hi hai bhool.
(hoti hi hai bhool. )
tum manoram sakhi dhara manohar
(kyo aisa sanyog, aisa sanyog)
kis karan donon ne mil kiya ye shaDyantr!
(kyon aisa sanyog, aisa sanyog).
jaal bichhakar vihag phansana aur dosh dena usko
samajh nahin aata ye kaisa hai nyaay
samajh nahin aata tum apni ho ki par?
(yah kaisa sanyog )
nahin bhool nahi dosh, ye thahra yauvan
(kiska dosh kiski bhool rahne do ye vichar)
ek hi jaal mein phansa donon ka man
(kiska dosh kiski bhool rahne do ye vichar).
khincho tum ek or aur main dusri or
utna hi kathor ho kasta jata bandhan
kaun janta tha ki vedna madhur itni?
( rahne do ye vichar)
kaun janta tha ki prem prakhar talvar
(kaun janta tha, sabhi chahte anjane)
hansi mein hui prakhar donon or dhaar
(kaun janta tha, sabhi chahte anjane).
hirdai se jharti bunden taral shoni ki,
adhron par banaye rakhti rekha hansi ki
prem ki hai dhaar prakhar aur mooth sunahri.
(kaun janta tha haath)
ek doshe dohe doshi, ek bhule bhul,
(yah nahin anuman aur keval anuman)
bindha donon ke ek hi vedna ka shool
(yah nahin anuman aur keval anuman).
prakhar daah mein galkar donon ke man ne
yugal deh samput mein kiya hai srijan
vanimay ek mukta phool.
(yah nahin anuman aur anuman).
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 515)
रचनाकार : प्रथमनाथ बिशी
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.