सुबह, रोज़ सुबह-सवेरे
मुझे मंदिर की घंटी
मुल्ला की बाँग
भाई के शब्द चिड़ियों की चुर-चुर
बछड़ों का रँभाना
सूरज की रोशनी
या दिन का चढ़ना
कुछ भी तो नहीं उठाता/जगाता।
इनमें से कोई भी प्रक्रिया
मेरे आलसी स्वभाव में
उद्यम नहीं भर सकती।
मुझे जगाती है
बच्चों की फ़ीस दुकान के बही-खाते
दूध की लाग
बिजली का बिल
मकान का किराया
माँ की दवा
पत्नी की साड़ी
बेटी का दाज
साली का शगुन
और रात को हर रात को
अगर देर तक मैं नहीं सोता
तो उसमें
टीवी की फ़िल्म
कुत्ते का भौंकना
चौकीदार की ललकार/चेतावनी
या पत्नी का शरीर
कुछ भी तो शामिल नहीं
उसमें शामिल है
हिसाब-किताब
घटती आमदनी, बढ़ती महँगाई
ढलती जवानी, बढ़ता बोझ
आने वाला दिन
बच्चों की फ़ीस
दुकान के बही-खाते
दूध की लाग
बिजली का बिल, मकान का किराया
माँ की दवा, पत्नी की साड़ी
बेटी का दाज, साली का शगुन
सुबह, हर सुबह सवेरे।
लाग : नियमित रूप से लिया जाने वाला दूध आदि।
subah, roz subah sawere
mujhe mandir ki ghanti mulla ki bang
bhai ke shabd chiDiyon ki chur chur
bachhDon ka raithana
suraj ki roshni
ya din ka chaDhna
kuch bhi to nahin uthata/ jagata
inmen se koi bhi prakriya
mere aalsi swbhaw mein
udyam nahin bhar sakti॥
mujhe jagati hai
bachchon ki fees dukan ke bahi khate
doodh ki lag
bijli ka bil
makan ka kiraya
man ki dawa
patni ki saDi
beti ka daj
sali ka shagun
aur raat ko har raat ko
agar der tak main nahin sota
to usmen
tiwi ki film
kutte ka bhaunkna
chaukidar ki lalkar / chetawni
ya patni ka sharir
kuch bhi to shamil nahin
usmen shamil hai
hisab kitab
ghatti amdani, baDhti mahngai
Dhalti jawani, baDhta bojh
ane wala din
bachchon ki fees
dukan ke bahi khate
doodh ki lag
bijli ka bil, makan ka kiraya
man ki dawa,
patni ki saDi
beti ka daj,
sali ka shagun subah,
har subah sawere
1 niymit roop se liya janewala doodh aadi
(mool shirshkah baDalai roj baDalai)
subah, roz subah sawere
mujhe mandir ki ghanti mulla ki bang
bhai ke shabd chiDiyon ki chur chur
bachhDon ka raithana
suraj ki roshni
ya din ka chaDhna
kuch bhi to nahin uthata/ jagata
inmen se koi bhi prakriya
mere aalsi swbhaw mein
udyam nahin bhar sakti॥
mujhe jagati hai
bachchon ki fees dukan ke bahi khate
doodh ki lag
bijli ka bil
makan ka kiraya
man ki dawa
patni ki saDi
beti ka daj
sali ka shagun
aur raat ko har raat ko
agar der tak main nahin sota
to usmen
tiwi ki film
kutte ka bhaunkna
chaukidar ki lalkar / chetawni
ya patni ka sharir
kuch bhi to shamil nahin
usmen shamil hai
hisab kitab
ghatti amdani, baDhti mahngai
Dhalti jawani, baDhta bojh
ane wala din
bachchon ki fees
dukan ke bahi khate
doodh ki lag
bijli ka bil, makan ka kiraya
man ki dawa,
patni ki saDi
beti ka daj,
sali ka shagun subah,
har subah sawere
1 niymit roop se liya janewala doodh aadi
(mool shirshkah baDalai roj baDalai)
स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक डोगरी कविता चयनिका (पृष्ठ 97)
संपादक : ओम गोस्वामी
रचनाकार : मोहन सिंह सलाथिया
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.