बादलों ने ढाँप लिया दृश्य पहला
अंबर जैसे तैरता ही जा रहा
बादलों के सूख गए हैं दरिया
कहीं फिर पानी दिखाई दे रहा
या खिंची कोई लकीर आँसू की
बिजली का मुँह रह गया खुले का खुला
बीच में से झाँकते हैं कार्ड, कुछ लिफ़ाफ़े भी
बादलों ने ली करवट
तकिया कोई जागता है
इसी तकिए पर कोई टैगोर सोया
गूढ़ी नींद में
नहीं कहीं खेतों में
सीधी लिखी है इबारत
बादलों में कोई बदली
कर रही कितने इशारे
ये नहीं हैं जगह जहाँ घर बनाएँ
चलो, वापस धरती पर
वहीं चुन लेते हैं कोई भी स्थान
घर बनाने के लिए
अपना घर
badlon ne Dhanp liya drishya pahla
ambar jaise tairta hi ja raha
badlon ke sookh gaye hain dariya
kahin phir pani dikhai de raha
ya khinchi koi lakir ansu ki
bijli ka munh rah gaya khule ka khula
beech mein se jhankte hain card, kuch lifafe bhi
badlon ne li karwat
takiya koi jagata hai
isi takiye par koi tagore soya
guDhi neend mein
nahin kahin kheton mein
sidhi likhi hai ibarat
badlon mein koi badli
kar rahi kitne ishare
ye nahin hain jagah jahan ghar banayen
chalo, wapas dharti par
wahin chun lete hain koi bhi sthan
ghar banane ke liye
apna ghar
badlon ne Dhanp liya drishya pahla
ambar jaise tairta hi ja raha
badlon ke sookh gaye hain dariya
kahin phir pani dikhai de raha
ya khinchi koi lakir ansu ki
bijli ka munh rah gaya khule ka khula
beech mein se jhankte hain card, kuch lifafe bhi
badlon ne li karwat
takiya koi jagata hai
isi takiye par koi tagore soya
guDhi neend mein
nahin kahin kheton mein
sidhi likhi hai ibarat
badlon mein koi badli
kar rahi kitne ishare
ye nahin hain jagah jahan ghar banayen
chalo, wapas dharti par
wahin chun lete hain koi bhi sthan
ghar banane ke liye
apna ghar
स्रोत :
पुस्तक : बीरबहूटियाँ (पृष्ठ 46)
रचनाकार : पद्मा सचदेव
प्रकाशन : साहित्य भंडार
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.