आज दीया बहुत उदास था
आँसुओं से भीगी उसकी देह
सूखाई जा रही थी धूप में
यह समय
उसके मालिक से विदा होने का था
उन पिता जैसे हाथों से
विदा होने का था
जिन्होंने उसे रौशनी बाँटने के लिए गढ़ा था
कुम्हार से
दीया कितना कुछ कहना चाहता था
पर हिम्मत नहीं जुटा पाता
अंत में बोरे में भरे जाने के पूर्व
उससे रहा नहीं गया
और दीए ने
अपनी भरी-भारी आवाज़ में कहा
ओ मेरे मालिक सुनो!
मेरी देह
तुम्हारे हाथों का बिंब है
मेरा लाल रंग
आग में तपते
तुम्हारे हाथों के पके रंग
मेरी पेंदी की गहराई
तुम्हारे दुखों जितनी गहरी है
और मेरा बाती से प्रेम
तुम्हारे माटी से प्रेम जितना सच्चा है
ओ मेरे मालिक सुनो!
मैं जानता हूँ कि
तुम पेट, भूख, समाज
आदि आदि से मजबूर हो
इसलिए मैं तुम्हें रोकूँगा नहीं
मुझको बाज़ार ले जाने से
पर यदि हो सके तो
तुम मुझे सौंपना उन हाथों को
जो तुम्हारे फटे खेत जैसे हाथों से प्यार करते हों,
मुझे सौंपना उस आदमी को
जो धरती के रंग में रंगे
तुम्हारी धोती और कमीज़ को
मानता हो दुनिया का एक ज़रूरी रंग,
मुझे रखना
उस आदमी के
घर की दहलीज़ पर
जो मेरी मद्धिम रौशनी में
खर-पतवारों से
घरों की छतें और दीवारें बुनता हो
मेरी लौ से
किसी की झोपड़ी नहीं फूँकता
मुझे छोड़ देना
उस डीह की टूटी ईंट पर
जहाँ युगों से
कोई आया गया नहीं है
आदमी का साया तक नहीं,
मुझे रख देना
उस आदमी की हथेली में
जो चाँद और सूरज की
ख़ूबियाँ नहीं जानता
केवल रोटी पहचानता है
ओ मेरे मालिक सुनो!
मुझे ज़बरदस्ती पटक देना
उस आदमी के हाथ में
जो अब आदमी नहीं बचा है
रौशनी की भूख में
उसकी आग कब की मर चुकी है,
हो सके तो
बड़ी श्रद्धा से
मुझे रख देना
उस स्त्री की हथेली पर जो
वर्षों से, रातों में जागकर
लोगों को लिखना सीखा रही है
आत्मसम्मान के ज़रूरी कुछ अक्षर—
अ, स, म और न॥
aaj diya bahut udaas tha
ansuon se bhigi uski deh
sukhai ja rahi thi dhoop men
ye samay
uske malik se vida hone ka tha
un pita jaise hathon se
vida hone ka tha
jinhonne use raushani bantne ke liye gaDha tha
kumhar se
diya kitna kuch kahna chahta tha
par himmat nahin juta pata
ant mein bore mein bhare jane ke poorv
usse raha nahin gaya
aur diye ne
apni bhari bhari avaz mein kaha
o mere malik suno!
meri deh
tumhare hathon ka bimb hai
mera laal rang
aag mein tapte
tumhare hathon ke pake rang
meri pendi ki gahrai
tumhare dukhon jitni gahri hai
aur mera bati se prem
tumhare mati se prem jitna sachcha hai
o mere malik suno!
main janta hoon ki
tum pet, bhookh, samaj
aadi aadi se majbur ho
isliye main tumhein rokunga nahin
mujhko bazar le jane se
par yadi ho sake to
tum mujhe saunpna un hathon ko
jo tumhare phate khet jaise hathon se pyaar karte hon,
mujhe saunpna us adami ko
jo dharti ke rang mein range
tumhari dhoti aur kamiz ko
manata ho duniya ka ek zaruri rang,
mujhe rakhna
us adami ke
ghar ki dahliz par
jo meri maddhim raushani men
khar patvaron se
gharon ki chhaten aur divaren bunta ho
meri lau se
kisi ki jhopDi nahin phunkta,
mujhe chhoD dena
us Deeh ki tuti int par
jahan yugon se
koi aaya gaya nahin hai
adami ka saya tak nahin,
mujhe rakh dena
us adami ki hatheli men
jo chaand aur suraj ki
khubiyan nahin janta
keval roti pahchanta hai
o mere malik suno!
mujhe zabardasti patak dena
us adami ke haath men
jo ab adami nahin bacha hai
raushani ki bhookh men
uski aag kab ki mar chuki hai,
ho sake to
baDi shardha se
mujhe rakh dena
us istri ki hatheli par jo
varshon se, raton mein jagkar
logon ko likhna sikha rahi hai
atmasamman ke zaruri kuch akshar—
a, s, madh aur n॥
aaj diya bahut udaas tha
ansuon se bhigi uski deh
sukhai ja rahi thi dhoop men
ye samay
uske malik se vida hone ka tha
un pita jaise hathon se
vida hone ka tha
jinhonne use raushani bantne ke liye gaDha tha
kumhar se
diya kitna kuch kahna chahta tha
par himmat nahin juta pata
ant mein bore mein bhare jane ke poorv
usse raha nahin gaya
aur diye ne
apni bhari bhari avaz mein kaha
o mere malik suno!
meri deh
tumhare hathon ka bimb hai
mera laal rang
aag mein tapte
tumhare hathon ke pake rang
meri pendi ki gahrai
tumhare dukhon jitni gahri hai
aur mera bati se prem
tumhare mati se prem jitna sachcha hai
o mere malik suno!
main janta hoon ki
tum pet, bhookh, samaj
aadi aadi se majbur ho
isliye main tumhein rokunga nahin
mujhko bazar le jane se
par yadi ho sake to
tum mujhe saunpna un hathon ko
jo tumhare phate khet jaise hathon se pyaar karte hon,
mujhe saunpna us adami ko
jo dharti ke rang mein range
tumhari dhoti aur kamiz ko
manata ho duniya ka ek zaruri rang,
mujhe rakhna
us adami ke
ghar ki dahliz par
jo meri maddhim raushani men
khar patvaron se
gharon ki chhaten aur divaren bunta ho
meri lau se
kisi ki jhopDi nahin phunkta,
mujhe chhoD dena
us Deeh ki tuti int par
jahan yugon se
koi aaya gaya nahin hai
adami ka saya tak nahin,
mujhe rakh dena
us adami ki hatheli men
jo chaand aur suraj ki
khubiyan nahin janta
keval roti pahchanta hai
o mere malik suno!
mujhe zabardasti patak dena
us adami ke haath men
jo ab adami nahin bacha hai
raushani ki bhookh men
uski aag kab ki mar chuki hai,
ho sake to
baDi shardha se
mujhe rakh dena
us istri ki hatheli par jo
varshon se, raton mein jagkar
logon ko likhna sikha rahi hai
atmasamman ke zaruri kuch akshar—
a, s, madh aur n॥
स्रोत :
रचनाकार : श्वेतांक कुमार सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.