(एक)
घर, रसोई, बरदौर और खेत
माँ के पास काम बहुत था
दिन खप जाता था इसमें
पर उनमें
एक पक्षी की आत्मा बसती थी
रात में अपनी नींद से
वो मेरे लिए समय चुगती थीं
दिन में दीदी थीं जो
कम उम्र में ही माँ बन गई थीं
मेरी माँ।
(दो)
मेरी देखभाल में
उनका स्कूल जाना कम हुआ
और एक दिन उन्हें
कम उपस्थिति के कारण
स्कूल से निकाल दिया गया
वह मुझे पंखा झलते हुए
सुबक रही थीं और
कोई त्रासद परीकथा सुना रही थीं
उनके रोने में एक गीतात्मकता थी
ऐसा लगता था कि
रोना उस कथा-परिवेश का हिस्सा हो
पर ऐसा था नहीं
उनके राशि में शनि नहीं
मैं पड़ गया था।
(तीन)
माँ ने अपनी नींद से
समय चुगा मेरे लिए
दीदी ने
कहाँ से चुगा समय?
(चार)
एक उम्र तक
अगर कोई मुझसे पूछता था
कि तुम्हारी माँ कौन हैं?
तो मैं बेहिचक
दीदी की ओर इशारा कर देता था
पड़ोस की औरतें
तेज ठहाका मारती थीं
दीदी अपना मुँह दुपट्टे में छिपा लेती थीं।
(पाँच)
दीदी फिर बड़ी हुईं
और बड़ी हुईं
उनकी उम्र इतनी तो थी ही कि
जब वह मुझे 'बेटा' कहती थीं
तो किसी को भी
संदेह नहीं होता था कि
वह मेरी 'माँ' नहीं हैं
उस वक्त माँ
खिल-खिलाकर हँस देती थीं
जैसे वह मेरी दादी हों।
(छह)
दीदी के मातृत्व से
माँ को ईर्ष्या होती थी
वह कहती भी थीं कि
अगर उनके पास काम कम होते
तो वो मुझे
दीदी की तरह पालतीं
(ek)
ghar, rasoi, bardaur aur khet
maan ke paas kaam bahut tha
din khap jata tha ismen
par unmen
ek pakshi ki aatma basti thi
raat mein apni neend se
wo mere liye samay chugti theen
din mein didi theen jo
kam umr mein hi maan ban gai theen
meri maan.
(do)
meri dekhbhal men
unka skool jana kam hua
aur ek din unhen
kam upasthiti ke karan
skool se nikal diya gaya
wo mujhe pankha jhalte hue
subak rahi theen aur
koi trasad parikatha suna rahi theen
unke rone mein ek gitatmakta thi
aisa lagta tha ki
rona us katha parivesh ka hissa ho
par aisa tha nahin
unke rashi mein shani nahin
main paD gaya tha.
(teen)
maan ne apni neend se
samay chuga mere liye
didi ne
kahan se chuga samay?
(chaar)
ek umr tak
agar koi mujhse puchhta tha
ki tumhari maan kaun hain?
to main behichak
didi ki or ishara kar deta tha
paDos ki aurten
tej thahaka marti theen
didi apna munh dupatte mein chhipa leti theen.
(paanch)
didi phir baDi huin
aur baDi huin
unki umr itni to thi hi ki
jab wo mujhe beta kahti theen
to kisi ko bhi
sandeh nahin hota tha ki
wo meri maan nahin hain
us vakt maan
khil khilakar hans deti theen
jaise wo meri dadi hon.
(chhah)
didi ke matritv se
maan ko iirshya hoti thi
wo kahti bhi theen ki
agar unke paas kaam kam hote
to wo mujhe
didi ki tarah paltin
(ek)
ghar, rasoi, bardaur aur khet
maan ke paas kaam bahut tha
din khap jata tha ismen
par unmen
ek pakshi ki aatma basti thi
raat mein apni neend se
wo mere liye samay chugti theen
din mein didi theen jo
kam umr mein hi maan ban gai theen
meri maan.
(do)
meri dekhbhal men
unka skool jana kam hua
aur ek din unhen
kam upasthiti ke karan
skool se nikal diya gaya
wo mujhe pankha jhalte hue
subak rahi theen aur
koi trasad parikatha suna rahi theen
unke rone mein ek gitatmakta thi
aisa lagta tha ki
rona us katha parivesh ka hissa ho
par aisa tha nahin
unke rashi mein shani nahin
main paD gaya tha.
(teen)
maan ne apni neend se
samay chuga mere liye
didi ne
kahan se chuga samay?
(chaar)
ek umr tak
agar koi mujhse puchhta tha
ki tumhari maan kaun hain?
to main behichak
didi ki or ishara kar deta tha
paDos ki aurten
tej thahaka marti theen
didi apna munh dupatte mein chhipa leti theen.
(paanch)
didi phir baDi huin
aur baDi huin
unki umr itni to thi hi ki
jab wo mujhe beta kahti theen
to kisi ko bhi
sandeh nahin hota tha ki
wo meri maan nahin hain
us vakt maan
khil khilakar hans deti theen
jaise wo meri dadi hon.
(chhah)
didi ke matritv se
maan ko iirshya hoti thi
wo kahti bhi theen ki
agar unke paas kaam kam hote
to wo mujhe
didi ki tarah paltin
स्रोत :
रचनाकार : यशवंत कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.