बुलडोज़र कहाँ जानता है
जिस मकान को वह
धराशायी कर रहा है
केवल ईंट-गारे का मकान नहीं
एक भरा-पूरा घर मर रहा है
तानाशाह राजा
दरबारियों के कहे-बहकावे
निर्दोष-निरीह प्रजा पर ज़ुल्म कर रहा है
राजा घर नहीं महल बनवाता है
जिसके पत्थरों चुनाई में
उसका पसीना नहीं,
प्रजा का ख़ून-पसीना होता है
अगर राजा का स्वयं घर होता
अपना घर बसाया होता
किसी घर बुलडोज़र नहीं चलवाया होता
घर कैसे बनता है...!
एक बार तो ज़रूर ज़ेहन में आया होता।
bulldozer kahan janta hai
jis makan ko wo
dharashayi kar raha hai
kewal int gare ka makan nahin
ek bhara pura ghar mar raha hai
tanashah raja
darbariyon ke kahe bahkawe
nirdosh nirih praja par zulm kar raha hai
raja ghar nahin mahl banwata hai
jiske patthron chunai mein
uska pasina nahin,
praja ka khoon pasina hota hai
agar raja ka swayan ghar hota
apna ghar basaya hota
kisi ghar bulldozer nahin chalwaya hota
ghar kaise banta hai !
ek bar to zarur zehn mein aaya hota
bulldozer kahan janta hai
jis makan ko wo
dharashayi kar raha hai
kewal int gare ka makan nahin
ek bhara pura ghar mar raha hai
tanashah raja
darbariyon ke kahe bahkawe
nirdosh nirih praja par zulm kar raha hai
raja ghar nahin mahl banwata hai
jiske patthron chunai mein
uska pasina nahin,
praja ka khoon pasina hota hai
agar raja ka swayan ghar hota
apna ghar basaya hota
kisi ghar bulldozer nahin chalwaya hota
ghar kaise banta hai !
ek bar to zarur zehn mein aaya hota
स्रोत :
रचनाकार : नवनीत पांडे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.