जब भी देखा पिता को
बस परेशान ही देखा
देखा अपने अधगंजे सिर पर हाथ फेरते
और बीड़ी के लंबे-लंबे कस लगाते
ख़ूब धुआँ छोड़ते हुए ही
धुआँ हर बार ही ज़हरीला नहीं होता
पूछो इसकी सच्चाई
ख़ूब घने अँधेरे जंगल
या फिर
किसी अनजान टापु में फंसे लोगों से
उस अंधविश्वासी बीमार ग्रामीण से पूछो
धुएँ की पवित्रता
जो लेकर आया है धूणी
किसी देवता के गूर से
पिता सदा धुएँ से ही घिरे रहे
अपने अपनों के
फेफड़े तक उठती रही इसकी टीस बराबर
और पिता नकली से मुस्कुराकर
घुटते रहे अंदर ही अंदर
बीड़ी का यह धुआँ शायद
सच्चा साथी है पिता का
उनके हर ग़म का गवाह
लेकिन डरने लगा है परिवार
बेख़ौफ़ से अपने घर में घुसे
इस धुएँ से अब
पिता की खाँसी
अब पूरी पृथ्वी को हिला रही है
और हम सब
पृथ्वी को संभालने की
पूरी कोशिश में जुटे हैं।
jab bhi dekha pita ko
bas pareshan hi dekha
dekha apne adhganje sir par haath pherte
aur biDi ke lambe lambe kas lagate
khoob dhuan chhoDte hue hi
dhuan har baar hi zahrila nahin hota
puchho iski sachchai
khoob ghane andhere jangal
ya phir
kisi anjan tapu mein phanse logon se
us andhvishvasi bimar gramin se puchho
dhuen ki pavitarta
jo lekar aaya hai dhuni
kisi devta ke goor se
pita sada dhuen se hi ghire rahe
apne apnon ke
phephDe tak uthti rahi iski tees barabar
aur pita nakli se muskurakar
ghutte rahe andar hi andar
biDi ka ye dhuan shayad
sachcha sathi hai pita ka
unke har gham ka gavah
lekin Darne laga hai parivar
bekhauf se apne ghar mein ghuse
is dhuen se ab
pita ki khansi
ab puri prithvi ko hila rahi hai
aur hum sab
prithvi ko sambhalne ki
puri koshish mein jute hain.
jab bhi dekha pita ko
bas pareshan hi dekha
dekha apne adhganje sir par haath pherte
aur biDi ke lambe lambe kas lagate
khoob dhuan chhoDte hue hi
dhuan har baar hi zahrila nahin hota
puchho iski sachchai
khoob ghane andhere jangal
ya phir
kisi anjan tapu mein phanse logon se
us andhvishvasi bimar gramin se puchho
dhuen ki pavitarta
jo lekar aaya hai dhuni
kisi devta ke goor se
pita sada dhuen se hi ghire rahe
apne apnon ke
phephDe tak uthti rahi iski tees barabar
aur pita nakli se muskurakar
ghutte rahe andar hi andar
biDi ka ye dhuan shayad
sachcha sathi hai pita ka
unke har gham ka gavah
lekin Darne laga hai parivar
bekhauf se apne ghar mein ghuse
is dhuen se ab
pita ki khansi
ab puri prithvi ko hila rahi hai
aur hum sab
prithvi ko sambhalne ki
puri koshish mein jute hain.
स्रोत :
रचनाकार : पवन चौहान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.