कमरे में खिड़की नहीं थी
और मैंने सुना था
कि धूप चमकदार है।
बल्ब की रोशनी
धूल में दबती रही
और मैं
आईने और अपने बीच
धूप के सपने
बुनता रहा।
धूप की हर ख़बर
सीलन और ठंडक में
एक गुनगुना शब्द
उकेरती रही।
पहाड़ धूप में नहा गया
और घाटी में पसरी झील
अँधेरे में डूबी रही
तब मेरे दोस्तों ने
मुझसे पूछा
कि मैं परेशान क्यों हूँ।
कटघरे में खड़े
अपराधी-सा
मुझे अपने बीच में पाकर
धूप की इमारतें
मेरे अँधेरे में उतरने गली
और मुझसे पूछा—
‘क्यों?’
मुझे नहीं मालूम
कि धूप और अँधेरे को
मथते हुए
मैं तुम्हारा नाम
क्यों नहीं बता पाया।
मालूम है तुम्हें
कि साफ़ खिली और चमकदार
धूप भी
कभी धोखा होती है?
kamre mein khiDki nahin thi
aur mainne suna tha
ki dhoop chamakdar hai
bulb ki roshni
dhool mein dabti rahi
aur main
aine aur apne beech
dhoop ke sapne
bunta raha
dhoop ki har khabar
silan aur thanDak mein
ek gunguna shabd
ukerti rahi
pahaD dhoop mein nha gaya
aur ghati mein pasri jheel
andhere mein Dubi rahi
tab mere doston ne
mujhse puchha
ki main pareshan kyon hoon
katghare mein khaDe
apradhi sa
mujhe apne beech mein pakar
dhoop ki imarten
mere andhere mein utarne gali
aur mujhse puchha—
‘kyon?’
mujhe nahin malum
ki dhoop aur andhere ko
mathte hue
main tumhara nam
kyon nahin bata paya
malum hai tumhein
ki saf khili aur chamakdar
dhoop bhi
kabhi dhokha hoti hai?
kamre mein khiDki nahin thi
aur mainne suna tha
ki dhoop chamakdar hai
bulb ki roshni
dhool mein dabti rahi
aur main
aine aur apne beech
dhoop ke sapne
bunta raha
dhoop ki har khabar
silan aur thanDak mein
ek gunguna shabd
ukerti rahi
pahaD dhoop mein nha gaya
aur ghati mein pasri jheel
andhere mein Dubi rahi
tab mere doston ne
mujhse puchha
ki main pareshan kyon hoon
katghare mein khaDe
apradhi sa
mujhe apne beech mein pakar
dhoop ki imarten
mere andhere mein utarne gali
aur mujhse puchha—
‘kyon?’
mujhe nahin malum
ki dhoop aur andhere ko
mathte hue
main tumhara nam
kyon nahin bata paya
malum hai tumhein
ki saf khili aur chamakdar
dhoop bhi
kabhi dhokha hoti hai?
स्रोत :
पुस्तक : कुछ शब्द जैसे मेज़ (पृष्ठ 90)
रचनाकार : संजीव मिश्र
प्रकाशन : वाग्देवी प्रकाशन
संस्करण : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.