वह बोले, वहाँ एक कुआँ होगा और उन्होंने यह भी बताया,
यह धौला संस्कृत भाषा के धवल शब्द का अपभ्रंश रूप है।
जैसे हमारा समय, चिंतन, जीवन, स्पर्श, दृश्य, प्यास सब अपभ्रंश हो गए
वैसे ही यह धवल घिस-घिस कर धौला हो गया।
धवल का एक अर्थ सफ़ेद है।
पत्थर सफ़ेद, चमकदार भी होता है।
उन मटमैली, धूसर, ऊबड़ खाबड़ अरावली की पर्वत शृंखला
के बीच सफ़ेद संगमरमर का मीठे पानी का कुआँ। धौला कुआँ।
कैसा रहा होगा, वह झिलमिलाते पानी को अपने अंदर समाए हुए?
उसके न रहने पर भी उसका नाम रह गया।
ज़रा सोचिए, किनका नाम रह जाता है, उनके चले जाने के बाद?
कहाँ गया कुआँ? कैसे ग़ायब हो गया? किसी को नहीं पता।
एक दिन,
जब धौलाधार की पहाड़ियाँ इतनी चमकीली नहीं रह जाएँगी,
तब हमें महसूस होगा, वह सामने ही था कहीं।
ओझल सा।
उस ऊबड़-खाबड़ मेढ़ के ख़त्म होते ही पेड़ों की छाव में छुपा हुआ सा।
जब किसी ने उसे पाट दिया, तब उसे नहीं पता था,
कुँओं का संबंध पहाड़ों से भी वही था, जो जल का जीवन से है।
wo bole, wahan ek kuan hoga aur unhonne ye bhi bataya,
ye dhaula sanskrit bhasha ke dhawal shabd ka apabhransh roop hai
jaise hamara samay, chintan, jiwan, sparsh, drishya, pyas sab apabhransh ho gaye
waise hi ye dhawal ghis ghis kar dhaula ho gaya
dhawal ka ek arth safed hai
patthar safed, chamakdar bhi hota hai
un matmaili, dhusar, ubaD khabaD arawali ki parwat shrinkhla
ke beech safed sangamarmar ka mithe pani ka kuan dhaula kuan
kaisa raha hoga, wo jhilmilate pani ko apne andar samaye hue?
uske na rahne par bhi uska nam rah gaya
zara sochiye, kinka nam rah jata hai, unke chale jane ke baad?
kahan gaya kuan? kaise ghayab ho gaya? kisi ko nahin pata
ek din,
jab dhauladhar ki pahaDiyan itni chamkili nahin rah jayengi,
tab hamein mahsus hoga, wo samne hi tha kahin
ojhal sa
us ubaD khabaD meDh ke khatm hote hi peDon ki chhaw mein chhupa hua sa
jab kisi ne use pat diya, tab use nahin pata tha,
kunon ka sambandh pahaDon se bhi wahi tha, jo jal ka jiwan se hai

स्रोत :
रचनाकार : शचींद्र आर्य
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.