रावण के वध के लिए, धन्यवाद! और
महँगाई के ज़माने में हमारे बच्चों को
तीर-धनुष एक मुफ़्त का खिलौना देने के लिए
धन्यवाद!
मशहरी लगाने वाली
बाँस की पुरानी लगभग विस्मृत फट्टियाँ
घर के अँधेरे में कहीं कोई पड़ी थीं
बरसों बाद उन्हें जगाया गया
और जैसे ही
लंबी नींद से जगने पर उनकी अँगड़ाई
धनुष के आकार की हुई
डोरियों से कसकर बाँध दिया गया उन्हें
हम सबकी ओर से, धन्यवाद!
बस, बच्चों की कुछ आँखों
कुछ अभागी गौरैयों
रंग बदलते हुए पकड़े जाने वाले
कुछ मूर्ख गिरगिटों को छोड़
हम सबकी ओर से, धन्यवाद!
ये निशाना बनेंगे तीर के
इन्हें लगेगी चोट
लेकिन इन्हें छोड़
हम सबकी ओर से
जो तीर के निशाने से बाहर रहेंगे
धन्यवाद!
धन्यवाद, श्रीराम!
धन्यवाद!
rawan ke wadh ke liye, dhanyawad! aur
mahngai ke zamane mein hamare bachchon ko
teer dhanush ek muft ka khilauna dene ke liye
dhanyawad!
mashahri lagane wali
bans ki purani lagbhag wismrit phattiyan
ghar ke andhere mein kahin koi paDi theen
barson baad unhen jagaya gaya
aur jaise hi
lambi neend se jagne par unki angDai
dhanush ke akar ki hui
Doriyon se kaskar bandh diya gaya unhen
hum sabki or se, dhanyawad!
bus, bachchon ki kuch ankhon
kuch abhagi gauraiyon
rang badalte hue pakDe jane wale
kuch moorkh giragiton ko chhoD
hum sabki or se, dhanyawad!
ye nishana banenge teer ke
inhen lagegi chot
lekin inhen chhoD
hum sabki or se
jo teer ke nishane se bahar rahenge
dhanyawad!
dhanyawad, shriram!
dhanyawad!
rawan ke wadh ke liye, dhanyawad! aur
mahngai ke zamane mein hamare bachchon ko
teer dhanush ek muft ka khilauna dene ke liye
dhanyawad!
mashahri lagane wali
bans ki purani lagbhag wismrit phattiyan
ghar ke andhere mein kahin koi paDi theen
barson baad unhen jagaya gaya
aur jaise hi
lambi neend se jagne par unki angDai
dhanush ke akar ki hui
Doriyon se kaskar bandh diya gaya unhen
hum sabki or se, dhanyawad!
bus, bachchon ki kuch ankhon
kuch abhagi gauraiyon
rang badalte hue pakDe jane wale
kuch moorkh giragiton ko chhoD
hum sabki or se, dhanyawad!
ye nishana banenge teer ke
inhen lagegi chot
lekin inhen chhoD
hum sabki or se
jo teer ke nishane se bahar rahenge
dhanyawad!
dhanyawad, shriram!
dhanyawad!
स्रोत :
रचनाकार : चंदन सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.