चमन उदास है
उतर गए गुलों के रंग
कोई ख़ुशबू नहीं बाक़ी
बच्चे हँसना भूल गए
बहारों बड़ी देर की तुमने
बदन पे ज़ख़्म हैं शुमार
हर शख़्स कर रहा है ग़मों का हिसाब
खेतों में बारूद है
हवा में गर्द-ओ-ग़ुबार
दुनिया के इदारों बड़ी देर की तुमने
मुझे क़त्ल करने की आरज़ू थी तुम्हें
मैं अपने ही मुल्क़ में ग़ैर हो गया
मेरे अपने ही ले चले
मुझे क़ब्र की जानिब
हत्यारों बड़ी देर की तुमने
कोई छत नहीं
दीवार-ओ-दर नहीं
यह मलबा है अब
शहर नहीं
अब आए हो तुम
इस ख़ाक की जबीं पे रौशन
सितारों बड़ी देर की तुमने
chaman udaas hai
utar ge gulon ke rang
koi khushbu nahin baqi
bachche hansna bhool ge
baharon baDi der ki tumne
badan pe zakhm hain shumar
har shakhs kar raha hai ghamon ka hisab
kheton mein barud hai
hava mein gard o gubar
duniya ke idaron baDi der ki tumne
mujhe qatl karne ki aarzu thi tumhein
main apne hi mulq mein ghair ho gaya
mere apne hi le chale
mujhe qabr ki janib
hatyaron baDi der ki tumne
koi chhat nahin
divar o dar nahin
ye malba hai ab
shahr nahin
ab aaye ho tum
is khaak ki jabin pe raushan
sitaron baDi der ki tumne
chaman udaas hai
utar ge gulon ke rang
koi khushbu nahin baqi
bachche hansna bhool ge
baharon baDi der ki tumne
badan pe zakhm hain shumar
har shakhs kar raha hai ghamon ka hisab
kheton mein barud hai
hava mein gard o gubar
duniya ke idaron baDi der ki tumne
mujhe qatl karne ki aarzu thi tumhein
main apne hi mulq mein ghair ho gaya
mere apne hi le chale
mujhe qabr ki janib
hatyaron baDi der ki tumne
koi chhat nahin
divar o dar nahin
ye malba hai ab
shahr nahin
ab aaye ho tum
is khaak ki jabin pe raushan
sitaron baDi der ki tumne
स्रोत :
रचनाकार : गौतम कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.