अपनी कुशकाय देह से
पथरीली भूमि पर लेटी हुई है तपस्विनी
मांस, जो जल है क्षीण हुआ है
प्रस्तर खंड, जो अस्थियाँ हैं
दीख पड़ने लगी हैं
देह में विचरते मनुजों पशुओं को
अर्द्धउन्मीलित नेत्रों से देखती है नर्मदा
नर्मदाष्टक और स्तुति-पाठ के
घोर कोलाहल से
भग्न हो रहा है उसका ध्यान
उन्मादी आस्तिकों की पूजन समिधा में
उलझ गई है केश-राशि
अगर-धूम्र से म्लान हुआ जाता है शांत मुख
सीपियाँ, शंख, रेत जो मज्जाएँ हैं
खोद डाली गई हैं
कोशिकाएँ, मीन-कच्छप
दानवी यंत्रों से भयग्रस्त हो विदा हुई हैं
देवी की साधना के साक्षी होने
सुदूर देश से आते थे जो विहग
अब पथ भटक गए हैं
कूलों पर तपनिष्ठ वृक्ष
थे जो संरक्षक मुनि
अकाल मृत्यु को प्राप्त हुए हैं
सूख रहे हैं
काष्ठागार में उनके शव
शांत तटों को अपनी उपस्थिति से
आक्रांत करते मठों से निस्तारित कलुष
कृष्णवर्णी कर रहा है नर्मदा की त्वचा
स्रोतस्विनी की गर्भ नाल से जुड़कर
बसे ग्राम नगरों के समवेत पातकों से
अंतर्धान होने को है यह यति
देखो... नर्मदा को देखो।
apni kushkay deh se
pathrili bhumi par leti hui hai tapaswini
mans, jo jal hai kshain hua hai
prastar khanD, jo asthiyan hain
deekh paDne lagi hain
deh mein wicharte manujon pashuon ko
arddhunmilit netron se dekhti hai narmada
narmdashtak aur istuti path ke
ghor kolahal se
bhagn ho raha hai uska dhyan
unmadi astikon ki pujan samidha mein
ulajh gai hai kesh rashi
agar dhoomr se mlan hua jata hai shant mukh
sipiyan, shankh, ret jo majjayen hain
khod Dali gai hain
koshikayen, meen kachchhap
danawi yantron se bhayagrast ho wida hui hain
dewi ki sadhana ke sakshi hone
sudur desh se aate the jo wihag
ab path bhatak gaye hain
kulon par tapnishth wriksh
the jo sanrakshak muni
akal mirtyu ko prapt hue hain
sookh rahe hain
kashthagar mein unke shau
shant taton ko apni upasthiti se
akrant karte mathon se nistarit kalush
krishnwarni kar raha hai narmada ki twacha
srotaswini ki garbh nal se juDkar
base gram nagron ke samwet patkon se
antardhan hone ko hai ye yati
dekho narmada ko dekho
apni kushkay deh se
pathrili bhumi par leti hui hai tapaswini
mans, jo jal hai kshain hua hai
prastar khanD, jo asthiyan hain
deekh paDne lagi hain
deh mein wicharte manujon pashuon ko
arddhunmilit netron se dekhti hai narmada
narmdashtak aur istuti path ke
ghor kolahal se
bhagn ho raha hai uska dhyan
unmadi astikon ki pujan samidha mein
ulajh gai hai kesh rashi
agar dhoomr se mlan hua jata hai shant mukh
sipiyan, shankh, ret jo majjayen hain
khod Dali gai hain
koshikayen, meen kachchhap
danawi yantron se bhayagrast ho wida hui hain
dewi ki sadhana ke sakshi hone
sudur desh se aate the jo wihag
ab path bhatak gaye hain
kulon par tapnishth wriksh
the jo sanrakshak muni
akal mirtyu ko prapt hue hain
sookh rahe hain
kashthagar mein unke shau
shant taton ko apni upasthiti se
akrant karte mathon se nistarit kalush
krishnwarni kar raha hai narmada ki twacha
srotaswini ki garbh nal se juDkar
base gram nagron ke samwet patkon se
antardhan hone ko hai ye yati
dekho narmada ko dekho
स्रोत :
रचनाकार : विवेक चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.