वह सबके नाम के आगे जी लगाता रहा
और किसी से नहीं कह सका जी की
सबकी मुस्कुराहटों और उदासियों में शामिल वह
लड़खड़ाता चला गया चिकनी सड़कों पर
आलीशान खँडहरों की तरफ़
जब तक कि भूल नहीं गया
अपना आख़िरी ठहाका
एक हाथ में शातिर लबादों की धमकियाँ
और दूसरे में फ़ब्तियाँ लिए वह
किसी तरह अपना मफ़लर ठीक करता रहा
डरता रहा प्रेम के सुगंधित नुस्ख़ों से
और अख़बार पढ़ता रहा
पाँवों को पहियों में बदलना उसे नहीं आया
जीने के लिए वह
मारना नहीं सीख पाया
उसने कभी किसी का कुछ नहीं बिगाड़ा
इसलिए किसी का बना भी नहीं पाया कुछ
शहर में एक छोटी-सी नमस्ते की तरह था उसका आना
और चले जाना।
wo sabke nam ke aage ji lagata raha
aur kisi se nahin kah saka ji ki
sabki muskurahton aur udasiyon mein shamil wo
laDkhaData chala gaya chikni saDkon par
alishan khanDaharon ki taraf
jab tak ki bhool nahin gaya
apna akhiri thahaka
ek hath mein shatir labadon ki dhamkiyan
aur dusre mein fabtiyan liye wo
kisi tarah apna muffler theek karta raha
Darta raha prem ke sugandhit nuskhon se
aur akhbar paDhta raha
panwon ko pahiyon mein badalna use nahin aaya
jine ke liye wo
marana nahin seekh paya
usne kabhi kisi ka kuch nahin bigaDa
isliye kisi ka bana bhi nahin paya kuch
shahr mein ek chhoti si namaste ki tarah tha uska aana
aur chale jana
wo sabke nam ke aage ji lagata raha
aur kisi se nahin kah saka ji ki
sabki muskurahton aur udasiyon mein shamil wo
laDkhaData chala gaya chikni saDkon par
alishan khanDaharon ki taraf
jab tak ki bhool nahin gaya
apna akhiri thahaka
ek hath mein shatir labadon ki dhamkiyan
aur dusre mein fabtiyan liye wo
kisi tarah apna muffler theek karta raha
Darta raha prem ke sugandhit nuskhon se
aur akhbar paDhta raha
panwon ko pahiyon mein badalna use nahin aaya
jine ke liye wo
marana nahin seekh paya
usne kabhi kisi ka kuch nahin bigaDa
isliye kisi ka bana bhi nahin paya kuch
shahr mein ek chhoti si namaste ki tarah tha uska aana
aur chale jana
स्रोत :
रचनाकार : विनय विश्वास
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.