बंद कमरे में देह नग्न नहीं होती
आईने के सामने ख़ुद को
नग्न देखना नहीं होता अश्लील
अश्लील होता है किसी की आँखों में
देह का औचित्य विशेष देखना
देह को सिर्फ़ देह देखना
जैसे देह कोई धरती है
जिसे सिर्फ़ फ़सल के लिए सींचा जाता हो
इतिहास और मिथकों के सबसे बड़े युद्ध
लड़े गए एक स्त्री की देह को
पितृसत्ता की मेढ़ से को छेक लेने के लिए
कोई कैसे एक रेखा पार कर
पर पुरुष की ब्याहता उठा ले गया
ब्याहता ने भी देह की मेढ़ बचाने को
अपने चारों तरफ़ खींच ली आग की रेखा
उसी आग में जलकर राख हो गए
स्त्री-यौनिकता के तमाम प्रश्न
जो नहीं खींच पाई आग की लकीर
वह ख़ुद क़ूद गई आग के कुंड में
जलती औरतों के देवी तुल्य किरदार
औरतों ने नहीं गढ़े
आईने के सामने अपनी देह को
प्यार करती औरतों ने तो बिल्कुल नहीं!
इतिहास के इन महान मिथककारों के लिए
स्तन काटकर सामने धर देने वाली औरत देवी नहीं है
उसके कटे स्तन पितृसत्ता की आँखों में घोपा ख़ंजर है
जिससे साहित्य का श्लीलपन पर्दा करता है
स्त्रियों से समाज से ज़्यादा
उनके अपने हिस्से का अधिक छीना गया
मसलन श्रम का दाम, नींद, भूख, प्रेम
और अपनी ही देह से प्यार
ऐसी स्त्रियाँ ख़ूब रोती हैं स्नानघर में
जब रात को घिसी देह पर
पानी बजर की तरह गिरता है और पूछता है
कि चाँद रातों में प्रेम के झींगुर
आख़िर चुप क्यों हो जाते हैं
जिन्होंने अपनी देह से प्यार किया
और उनके लिए विकल्प तलाशें
उनकी तस्वीरों को गहरे लाल से रँगकर
बाज़ार के बीच लगा दिया गया
उनकी उड़ती स्कर्ट को
हवा में सेक्स सिंबोलिज़्म के परचम की तरह लहरा दिया गया
उन्हीं बाज़ारों में टोपी और जूतों के निशान
अब तक असंदिग्ध हैं
band kamre mein deh nagn nahin hoti
aine ke samne khudko nagn dekhana nahin hota ashlil
ashlil hota hai kisi ki ankhon men
deh ka auchity vishesh dekhana
deh ko sirf deh dekhana
jaise deh koi dharti hai jise sirf phasal ke liye sincha jata ho
itihas aur mithkon ke sabse baDe yudh
laDe gaye ek istri ki deh ko
pitr satta ki meDh se ko chhek lene ke liye
koi kaise ek rekha paar kar
par purush ki byahta utha le gaya
byahta ne bhi deh ki meDh bachane ko
apne charon taraf kheench li aag ki rekha
usi aag mein jalkar raakh ho gaye
istri yaunikta ke tamam parashn
jo nahin kheench pai aag ki lakir
wo khu qood gai aag ke kunD men
jalti aurton ke devi tuly kirdar
aurton ne nahin gaDhe
aine ke samne apni deh ko pyaar karti aurton ne to bilkul nahin!
itihas ke in mahan mithakkaron ke liye
stan katkar samne dhar dene vali aurat devi nahin hai
uske kate stan pitr satta ki ankhon mein ghopa khanjar hai
jisse sahity ka shlilpan parda karta hai
istriyon se samaj se zyada
unke apne hisse ka adhik chhina gaya
masalan shram ka daam, neend, bhookh, prem
aur apne hi deh se pyaar
aisi striyan khoob roti hain snanghar men
jab raat ko ghisi deh par
pani bajar ki tarah girta hai aur puchhta hai
ki chaand raton mein prem ke jhingur
akhir chup kyon ho jate hain
jinhonne apni deh se pyaar kiya
aur unke liye vikalp talashen
unki tasviron ko gahre laal se rangkar
bazar ke beech laga diya gaya
unki uDti skirt ko
hava mein sex simbolizm ke parcham ki tarah lahra diya gaya
unhin bazaron mein topi aur juton ke nishan
ab tak asandigdh hain
band kamre mein deh nagn nahin hoti
aine ke samne khudko nagn dekhana nahin hota ashlil
ashlil hota hai kisi ki ankhon men
deh ka auchity vishesh dekhana
deh ko sirf deh dekhana
jaise deh koi dharti hai jise sirf phasal ke liye sincha jata ho
itihas aur mithkon ke sabse baDe yudh
laDe gaye ek istri ki deh ko
pitr satta ki meDh se ko chhek lene ke liye
koi kaise ek rekha paar kar
par purush ki byahta utha le gaya
byahta ne bhi deh ki meDh bachane ko
apne charon taraf kheench li aag ki rekha
usi aag mein jalkar raakh ho gaye
istri yaunikta ke tamam parashn
jo nahin kheench pai aag ki lakir
wo khu qood gai aag ke kunD men
jalti aurton ke devi tuly kirdar
aurton ne nahin gaDhe
aine ke samne apni deh ko pyaar karti aurton ne to bilkul nahin!
itihas ke in mahan mithakkaron ke liye
stan katkar samne dhar dene vali aurat devi nahin hai
uske kate stan pitr satta ki ankhon mein ghopa khanjar hai
jisse sahity ka shlilpan parda karta hai
istriyon se samaj se zyada
unke apne hisse ka adhik chhina gaya
masalan shram ka daam, neend, bhookh, prem
aur apne hi deh se pyaar
aisi striyan khoob roti hain snanghar men
jab raat ko ghisi deh par
pani bajar ki tarah girta hai aur puchhta hai
ki chaand raton mein prem ke jhingur
akhir chup kyon ho jate hain
jinhonne apni deh se pyaar kiya
aur unke liye vikalp talashen
unki tasviron ko gahre laal se rangkar
bazar ke beech laga diya gaya
unki uDti skirt ko
hava mein sex simbolizm ke parcham ki tarah lahra diya gaya
unhin bazaron mein topi aur juton ke nishan
ab tak asandigdh hain
स्रोत :
रचनाकार : संध्या चौरसिया
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.