बच्ची कह रही है वह ब्याह नहीं करेगी
मैं उससे कह रही हूँ
मुर्ग़ियों का दड़बा खुला छोड़ने से वे आज़ाद
नहीं हो जातीं
उन्हें श्वान मार देते हैं
मैं चाहूँगी वह स्थूल न हो
न सँवलाए धूप में ज़रा
वह समझे कि लड़कियों का सुंदर ना दिखना समाज-विरोधी बात है
और यह ज़रा भी असंगत नहीं
कि स्त्री जो आजीवन देह के अभियोग से मुक्ति चाहती रही
अपनी संतान का सुंदर होना चाह रही है
असुंदर लड़कियाँ रसद नहीं होतीं
असुंदर लड़कियाँ ईंधन नहीं होतीं
युद्ध में संधि प्रस्ताव और
शांति में मैत्री मनोरथ नहीं
क़ाबिल शिकार तो होती ही नहीं
लाज़मी होती हैं इस तरह
कि प्रणय-निवेदन नहीं लिखे जा सकते उनके लिए
असुंदर लड़कियाँ ऐसा कुछ नहीं बन पातीं जो
उन्हें सूँघ लिया, चख लिया, बिछा लिया जाए
यह कैसा स्वीकार्य है कि एक दिन मैं
उस बच्ची के मुख पर सफ़ेद पोत दूँ
बना दूँ लाल और काले से उसके नई आँखें भँवें होंठ
पर यह कितना संगीन होगा कि
वह अविश्वास से तके मेरा मुख
सोचे, क्यों दिमाग़ से काम लेना सिखाते-सिखाते
मैंने उसे देह बना डाला।
bachchi kah rahi hai wo byah nahin karegi
main usse kah rahi hoon
murghiyon ka daDba khula chhoDne se we azad
nahin ho jatin
unhen shwan mar dete hain
main chahungi wo sthool na ho
na sanwlaye dhoop mein zara
wo samjhe ki laDakiyon ka sundar na dikhna samaj wirodhi baat hai
aur ye zara bhi asangat nahin
ki istri jo ajiwan deh ke abhiyog se mukti chahti rahi
apni santan ka sundar hona chah rahi hai
asundar laDkiyan rasad nahin hotin
asundar laDkiyan indhan nahin hotin
yudh mein sandhi prastaw aur
shanti mein maitri manorath nahin
qabil shikar to hoti hi nahin
lazmi hoti hain is tarah
ki pranay niwedan nahin likhe ja sakte unke liye
asundar laDkiyan aisa kuch nahin ban patin jo
unhen soongh liya, chakh liya, bichha liya jaye
ye kaisa swikary hai ki ek din main
us bachchi ke mukh par safed pot doon
bana doon lal aur kale se uske nai ankhen bhanwen honth
par ye kitna sangin hoga ki
wo awishwas se take mera mukh
soche, kyon dimagh se kaam lena sikhate sikhate
mainne use deh bana Dala

स्रोत :
रचनाकार : अनुराधा सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.