हम शाँति के अग्रदूत हैं।
हमारे पीछे कुत्तों का एक-एक समूह है
(हाउंड, माँगरेल, स्पेनियल, टेरियर!)
ख़ूँख़्वार और पालतू कुत्ते
जिनका काम हमारे शत्रु के विरुद्ध भूक-भूक कर आतंक
उत्पन्न करना है।
क्योंकि हम उन्हें सूखी हुई केक देते हैं।
उनके गले में हमारे सोने की ज़ंजीर है।
हमारे मुखों पर बारूद की रोशनी है
जबड़ों में ख़ून है, दाँत शेर के से पैने हैं
पर इन्हें देखकर चौंकने की ज़रूरत नहीं
ये तुम्हारे सपनों का ख़ून है।
वीभत्स, कुरूप और भयावने।
हो सकता है
उनमें से कुछ ताज़े, खिले हुए गुलाब की तरह
और हिरन के सोए बच्चे की अधमुँदी आँखों से अच्छे रहे हों
पर सपने कभी किसी के सगे नहीं हुआ करते।
वह देखो!
कटे हुए नाख़ून की तरह चाँद आसमान के गले में लटका है
उसकी राँगेवाली रोशनी में
दूर वहाँ तालाब के पानी में
ख़रगोश की उधड़ी सफ़ेद खाल की भाँति
तुम्हारे तड़फड़ाते, छटपटाते सपने तैर रहे हैं।
अधूरी नींद ने तुम्हारे सिर में दर्द भर दिया है,
विभ्रमपूर्ण कोलाहल के तूफ़ान तुम्हारे सिर से टकरा रहे हैं।
अनेक प्रकाश!—
चिराग़, बिजली, गैस-तारे, कलई के कारण चमकते अनेक
ज्ञान!—
इन सबसे तुम्हारा जी ऊब उठा होगा।
मिल की चिमनी, बँदूकों और विभिन्न भट्टियों का धुँआ।
टूटते हुए मोम के खंभे, खोह में भटकते हुए पिता
और रेगिस्तान में रोती हुई लड़कियों की मिली-जुली
आवाज़ें!
ये ऊहापोह और संशय की स्थितियाँ!
इन्हीं के विरुद्ध हम जेहाद की आवाज़ बुलंद कर रहे हैं!
हम वैज्ञानिकों, अर्थशास्त्रियों और दार्शनिकों के दिमाग़ों को
आग में तपाकर शाँति के फ़ार्मूलों का अंवेषण कर रहे हैं!
अपने सिद्धांतों के परीक्षण में परस्पर स्पर्धा कर रहे हैं!
यद्यपि हमारे कुत्ते हमारे श्रम की प्रशंसा में लगे हुए हैं
पर हमारे वास्तविक परीक्षक तो तुम्हीं हो
क्योंकि किसी दिन
तुम हमारे अंवेषणों के लक्ष्य बनोगे।
hum shanti ke agradut hain.
hamare pichhe kutton ka ek ek samuh hai
(haunD, mangarel, speniyal, teriyar!)
khunkhvar aur paltu kutte
jinka kaam hamare shatru ke viruddh bhook bhook kar atank
utpann karna hai.
kyonki hum unhen sukhi hui kek dete hain.
unke gale mein hamare sone ki zanjir hai.
hamare mukhon par barud ki roshni hai
jabDon mein khoon hai, daant sher ke se paine hain
par inhen dekhkar chaunkne ki zarurat nahin
ye tumhare sapnon ka khoon hai.
vibhats, kurup aur bhayavne.
ho sakta hai
unmen se kuch taze, khile hue gulab ki tarah
aur hiran ke soe bachche ki adhmundi ankhon se achchhe rahe hon
par sapne kabhi kisi ke sage nahin hua karte.
wo dekho!
kate hue nakhun ki tarah chaand asman ke gale mein latka hai
uski rangevali roshni mein
door vahan talab ke pani mein
khargosh ki udhDi safed khaal ki bhanti
tumhare taDaphDate, chhataptate sapne tair rahe hain.
adhuri neend ne tumhare sir mein dard bhar diya hai,
vibhrampurn kolahal ke tufan tumhare sir se takra rahe hain.
anek parkash!—
chiragh, bijli, gais tare, kalii ke karan chamakte anek
gyaan!—
in sabse tumhara ji uub utha hoga.
mil ki chimani, bandukon aur vibhinn bhattiyon ka dhuna.
tutte hue mom ke khambhe, khoh mein bhatakte hue pita
aur registan mein roti hui laDakiyon ki mili juli
avazen!
ye uuhapoh aur sanshay ki sthitiyan!
inhin ke viruddh hum jehad ki avaz buland kar rahe hain!
hum vaigyanikon, arthshastriyon aur darshanikon ke dimaghon ko
aag mein tapakar shanti ke farmulon ka anveshan kar rahe hain!
apne siddhanton ke parikshan mein paraspar spardha kar rahe hain!
yadyapi hamare kutte hamare shram ki prshansa mein lage hue hain
par hamare vastavik parikshak to tumhin ho
kyonki kisi din
tum hamare anveshnon ke lakshya banoge.

स्रोत :
पुस्तक : पहचान सीरीज़, खंड : दो (पृष्ठ 495)
संपादक : अशोक वाजपेयी
रचनाकार : शिवकुटी लाल वर्मा
प्रकाशन : सेतु प्रकाशन
संस्करण : 2023
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.