आ रहे हैं मेहमान
लीपना होगा घर-आँगन
बुहारना होगा गलियों को
सिर्फ़ बुहार दे आवारा पत्ते
हटा दे महकती मिट्टी और सड़ते खर
इतने से ख़त्म नहीं हो पाएगी बदबू
बेवज़ह जल रही आग को बुझाना होगा
इन दीवारों पर
जो धब्बे जड़ गए हैं उनका
क्या होगा, सोचो भाई
आदमी के ख़ून से रँगे किवाड़ों की सोचो
कैसे छुपाएँगे उन्हें
कई बार रगड़नी पड़ेगी सफ़ेदी
ज़मीन को गोबर से लीपना होगा
अस्त-व्यस्त चीज़ों को सहेजकर
ठीक-ठाक रखना होगा!
रास्ते में जो झाड़-झंखाड़ हैं
जंगल और पहाड़ हैं
उन्हें तोड़ना होगा काटना होगा
रास्ते में साँपों की बाँबियाँ मिल सकती हैं
डरना नहीं भाई
सुनाई दे सकती है उरनकी फुँफकार
ऐसे में सीधे नहीं, उनके मुँह पर फेंकना कपड़ा
और तब उठाना लाठी
सीधे लड़ने के दिन गए
मेहमान आ रहे हैं
स्मृतियाँ ओर घर की सारी चीज़ें जगह पर
होनी चाहिए और ठीक-ठाक...।
aa rahe hain mehman
lipna hoga ghar angan
buharana hoga galiyon ko
sirf buhar de avara patte
hata de mahakti mitti aur saDte khar
itne se khatm nahin ho payegi badbu
bevzah jal rahi aag ko bujhana hoga
in divaron par
jo dhabbe jaD gaye hain unka
kya hoga, socho bhai
adami ke khoon se range kivaDon ki socho
kaise chhupayenge unhen
kai baar ragaDni paDegi safedi
zamin ko gobar se lipna hoga
ast vyast chizon ko sahejkar
theek thaak rakhna hoga!
raste mein jo jhaaD jhankhaD hain
jangal aur pahaD hain
unhen toDna hoga katna hoga.
raste mein sanpo ki banbiyan mil sakti hain
Darna nahin bhai
sunai de sakti hai uranki phunphakar
aise mein sidhe nahin, unke munh par phenkna kapDa
aur tab uthana lathi
sidhe laDne ke din gaye
mehman aa rahe hain
smritiyan or ghar ki sari chize jagah par
honi chahiye aur theek thaak. . . .
aa rahe hain mehman
lipna hoga ghar angan
buharana hoga galiyon ko
sirf buhar de avara patte
hata de mahakti mitti aur saDte khar
itne se khatm nahin ho payegi badbu
bevzah jal rahi aag ko bujhana hoga
in divaron par
jo dhabbe jaD gaye hain unka
kya hoga, socho bhai
adami ke khoon se range kivaDon ki socho
kaise chhupayenge unhen
kai baar ragaDni paDegi safedi
zamin ko gobar se lipna hoga
ast vyast chizon ko sahejkar
theek thaak rakhna hoga!
raste mein jo jhaaD jhankhaD hain
jangal aur pahaD hain
unhen toDna hoga katna hoga.
raste mein sanpo ki banbiyan mil sakti hain
Darna nahin bhai
sunai de sakti hai uranki phunphakar
aise mein sidhe nahin, unke munh par phenkna kapDa
aur tab uthana lathi
sidhe laDne ke din gaye
mehman aa rahe hain
smritiyan or ghar ki sari chize jagah par
honi chahiye aur theek thaak. . . .
स्रोत :
रचनाकार : हरे प्रकाश उपाध्याय
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.