भारी, सिलबट्टे का तला
जैसे
गहरी कोयले की खदान
की वो अँधेरी सुरंग
जंगलों में फँसी पुरातन हवा
जिसके पीपल की जड़ों में
जमे हुए पानी-सी
सहस्र वर्षों की रिक्ति
यहाँ
कुछ है जो अपूर्ण है
टँगे हुए समय की तरह
मंदिरों के इन गर्भ गृहों में
सदियों पुराने इतिहासों की क्षणभंगुरता
उन अनश्वर पत्थरों के नीले घावों में
दंभ, द्वेष, लालसाएँ
हारे हुए समरों के शेष हैं
रक्त पिपासाओं की देह में
कुछ है जो अपूर्ण है
टँगे हुए समय की तरह
आकाश के असीमित विस्तार को
राजाओं की भू लोलुप्ता में
देवों के शापित लोकों तक
भटकते धूमकेतु की धूल से
शिव सती के प्रेम में
कुछ है जो अपूर्ण है
टँगे हुए समय की तरह
वो खँडित है, विखंडित कहीं
जीवन मृत्यु अमरत्व के मध्य
त्रिशँकु ही
यही आदि, यदि अंत है
यौवन के भिक्षुक ययाति-सा
कौन काल, मौन त्रिकाल है?
कालनेमि के छल-सा
कुछ है जो अपूर्ण है
टँगे हुए समय की तरह
bhari, silbatte ka tala
jaise
gahri koyle ki khadan
ki wo andheri surang
janglon mein phansi puratan hava
jiske pipal ki jaDon mein
jame hue pani si
sahasr varshon ki rikti
yahan
kuch hai jo apurn hai
tange hue samay ki tarah
mandiron ke in garbh grihon mein
sadiyon purane itihason ki kshanbhangurta
un anashvar patthron ke nile ghavon mein
dambh, dvesh, lalsayen
hare hue samron ke shesh hain
rakt pipasaon ki deh mein
kuch hai jo apurn hai
tange hue samay ki tarah
akash ke asimit vistar ko
rajaon ki bhu lolupta mein
devon ke shapit lokon tak
bhatakte dhumaketu ki dhool se
shiv sati ke prem mein
kuch hai jo apurn hai
tange hue samay ki tarah
wo khanDit hai, vikhanDit kahin
jivan mrityu amratv ke madhya
trishanku hi
yahi aadi, yadi ant hai
yauvan ke bhikshuk yayati sa
kaun kaal, maun trikal hai?
kalnemi ke chhal sa
kuch hai jo apurn hai
tange hue samay ki tarah
bhari, silbatte ka tala
jaise
gahri koyle ki khadan
ki wo andheri surang
janglon mein phansi puratan hava
jiske pipal ki jaDon mein
jame hue pani si
sahasr varshon ki rikti
yahan
kuch hai jo apurn hai
tange hue samay ki tarah
mandiron ke in garbh grihon mein
sadiyon purane itihason ki kshanbhangurta
un anashvar patthron ke nile ghavon mein
dambh, dvesh, lalsayen
hare hue samron ke shesh hain
rakt pipasaon ki deh mein
kuch hai jo apurn hai
tange hue samay ki tarah
akash ke asimit vistar ko
rajaon ki bhu lolupta mein
devon ke shapit lokon tak
bhatakte dhumaketu ki dhool se
shiv sati ke prem mein
kuch hai jo apurn hai
tange hue samay ki tarah
wo khanDit hai, vikhanDit kahin
jivan mrityu amratv ke madhya
trishanku hi
yahi aadi, yadi ant hai
yauvan ke bhikshuk yayati sa
kaun kaal, maun trikal hai?
kalnemi ke chhal sa
kuch hai jo apurn hai
tange hue samay ki tarah
स्रोत :
रचनाकार : द्वारिका उनियाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.