वे दूर होती चली गई हैं
दूर ही नहीं, ग़ायब भी हुई हैं
खोजते रहो, पर वे मिलती नहीं हैं और
मिलती भी हैं तो बड़ी मुश्किल से मिलती हैं
लालटेन को ही लें
आसानी से कहाँ मिलती है
वैसे कविता में 'पहाड़ पर लालटेन' चमकती रहती है
विष्णु खरे के यहाँ वह टिम-टिमाते हुए दिख जाती है
इस तरह लालटेन तो कभी-कभार चर्चा में आ जाती है
पर ढ़िबरी को भूले बिसरे भी
कोई याद नहीं करता है
ये सब ज़िंदगी की ज़रूरत से बाहर कर दी गई हैं
मेरे लिए लालटेन पर बात करना
उसके प्रति कृतज्ञता ज्ञापित करना है
मैं जो थोड़ा-बहुत आदमी बना हूँ या बन पाया हूँ
तो यह लालटेन की ही देन है
वो दिन थे जब मिट्टी तेल दुर्लभ था
उस पर कंट्रोल था
कहने के लिए वह मिट्टी का तेल था
पर हमारे लिए सोने से कम नहीं था
लालटेन की जान इसी में बसती थी
इसका जलना ही हमारा जागना था
यह लालटेन की ख़ासियत थी
कि जब भी, जहाँ भी जलता
बाहर ही नहीं, मेरे अंदर भी
अँधेरे का साम्राज्य सिमटने लगता
वह सिकुड़ता जाता
सभ्यता ने छलाँग लगाई है
लालटेन, ढ़िबरी...
ऐसी बहुत-सी चीज़ें निर्वासित हो चुकी हैं
उनकी ज़रूरत रही नहीं
अब तो यहाँ हर तरफ़ रोशनी ही रोशनी है
इतनी जगमगहाट कि रात में भी दिन-सा उजाला है
ऐसी चकाचौंध कि आँखें चौधिया जाए
फिर भी अँधेरा?
कैसा है अँधेरा?
यह चकाचौंध में अँधेरा है
कि चकाचौंध का अँधेरा है
यह लोकल का अँधेरा है
कि ग्लोबल का अँधेरा है
मतलब अँधेरा अंदर भी है,
वह बाहर भी फैला है
वे कहते हैं यह क्राँति है
मैं कहता हूँ यह भ्राँति है, बस भ्राँति है।
ve door hoti chali gai hain
door hi nahin, ghayab bhi hui hain
khojte raho, par ve milti nahin hain aur
milti bhi hain to baDi mushkil se milti hain
lalten ko hi len
asani se kahan milti hai
vaise kavita mein pahaD par lalten chamakti rahti hai
vishnu khare ke yahan wo tim timate hue dikh jati hai
is tarah lalten to kabhi kabhar charcha mein aa jati hai
par Dhibri ko bhule bisre bhi
koi yaad nahin karta hai
ye sab zindagi ki zarurat se bahar kar di gai hain
mere liye lalten par baat karna
uske prati kritagyta gyapit karna hai
main jo thoDa bahut adami bana hoon ya ban paya hoon
to ye lalten ki hi den hai
wo din the jab mitti tel durlabh tha
us par kantrol tha
kahne ke liye wo mitti ka tel tha
par hamare liye sone se kam nahin tha
lalten ki jaan isi mein basti thi
iska jalna hi hamara jagna tha
ye lalten ki khasiyat thi
ki jab bhi, jahan bhi jalta
bahar hi nahin, mere andar bhi
andhere ka samrajya simatne lagta
wo sikuDta jata
sabhyata ne chhalang lagai hai
lalten, Dhibri. . .
aisi bahut si chizen nirvasit ho chuki hain
unki zarurat rahi nahin
ab to yahan har taraf roshni hi roshni hai
itni jagamaghat ki raat mein bhi din sa ujala hai
aisi chakachaundh ki ankhen chaudhiya jaye
phir bhi andhera?
kaisa hai andhera?
ye chakachaundh mein andhera hai
ki chakachaundh ka andhera hai
ye lokal ka andhera hai
ki global ka andhera hai
matlab andhera andar bhi hai,
wo bahar bhi phaila hai
ve kahte hain ye kranti hai
main kahta hoon ye bhranti hai, bas bhranti hai.
ve door hoti chali gai hain
door hi nahin, ghayab bhi hui hain
khojte raho, par ve milti nahin hain aur
milti bhi hain to baDi mushkil se milti hain
lalten ko hi len
asani se kahan milti hai
vaise kavita mein pahaD par lalten chamakti rahti hai
vishnu khare ke yahan wo tim timate hue dikh jati hai
is tarah lalten to kabhi kabhar charcha mein aa jati hai
par Dhibri ko bhule bisre bhi
koi yaad nahin karta hai
ye sab zindagi ki zarurat se bahar kar di gai hain
mere liye lalten par baat karna
uske prati kritagyta gyapit karna hai
main jo thoDa bahut adami bana hoon ya ban paya hoon
to ye lalten ki hi den hai
wo din the jab mitti tel durlabh tha
us par kantrol tha
kahne ke liye wo mitti ka tel tha
par hamare liye sone se kam nahin tha
lalten ki jaan isi mein basti thi
iska jalna hi hamara jagna tha
ye lalten ki khasiyat thi
ki jab bhi, jahan bhi jalta
bahar hi nahin, mere andar bhi
andhere ka samrajya simatne lagta
wo sikuDta jata
sabhyata ne chhalang lagai hai
lalten, Dhibri. . .
aisi bahut si chizen nirvasit ho chuki hain
unki zarurat rahi nahin
ab to yahan har taraf roshni hi roshni hai
itni jagamaghat ki raat mein bhi din sa ujala hai
aisi chakachaundh ki ankhen chaudhiya jaye
phir bhi andhera?
kaisa hai andhera?
ye chakachaundh mein andhera hai
ki chakachaundh ka andhera hai
ye lokal ka andhera hai
ki global ka andhera hai
matlab andhera andar bhi hai,
wo bahar bhi phaila hai
ve kahte hain ye kranti hai
main kahta hoon ye bhranti hai, bas bhranti hai.
स्रोत :
रचनाकार : कौशल किशोर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.