बाबा डरावने क़िस्से सुनाया करते थे
इतने डरावने
कि मैं डरा-सहमा रहता कई-कई दिन।
उन क़िस्सों के किरदार मेरे आस-पास रहते थे
हर वक़्त मुझे डराते हुए।
वे क़िस्से नहीं थे सच्चाइयाँ थीं
ऐसा बाबा कहते थे।
बाबा बताते कि जब थैले में बाट डालकर
पीटा गया था उस प्रेमी को
जो रात के अँधेरे में अपनी प्रेमिका से मिलने आया
और फिर पकड़ा गया
वह मरने के बाद प्रेत बन गया था।
और वो जो अपनी आठवीं संतान को जनते हुए
मर गई थी हरखू की माँ
वो भटकती है चुड़ैल बनकर।
और वो भीखू लोहार
जो ग़लती से देवता के मंदिर में घुस गया था
मंदिर को अपवित्र करता हुआ
सज़ा मिली थी उसे
ज़हर खाने या दीवार में चुने जाने की।
और उसने ज़हर खाने और दीवार में चुने जाने में से
दीवार में चुना जाना चुना था
वो भी भटकता है भूत बनकर।
बाबा बताते कि गाँव की वह बावड़ी
जो घने पेड़ों से घिरी हुई
गाँव के दखिन्न में दूर कहीं थी
बिल्कुल सुनसान, सन्नाटे को ओढ़े हुए।
कि जहाँ हर वक़्त रहती थी
उल्टे लटके चमगादड़ों की दुर्गंध
कि जहाँ दिन में भी बोल पड़ते थे उल्लू
कि जहाँ झाड़-झंखाड़ों के बीच
नहीं पहुँचती थी सूरज की रौशनी
ये तीनों वहीं रहते थे
अपने-अपने बदले की योजनाएँ बनाते हुए।
मेरे सपनों में आज भी कभी-कभी
आती है वो सूनी बावड़ी
दिन में भी निपट अँधेरी
झाड़ियों, बेलों से घिरी हुई
बिल्कुल किसी अँधेरी खोह की तरह।
मैं उन तीनों प्रेतों के बीच—
ख़ुद को घिरा हुआ पाता हूँ,
अकेला, बिल्कुल अकेला
मैं डरता हूँ, और मेरे हाथ प्रार्थना में उठ जाते हैं।
मैं उस कभी उस प्रेमी की प्रेमिका हो जाना चाहता हूँ
जिसे मार दिया गया
और कभी उस माँ की आख़िरी संतान।
और कभी-कभी उस मंदिर का देवता होकर
भीखू लोहार से माफ़ी माँगना चाहता हूँ।
पर ऐसा हो नहीं पाता
मैं डर जाता हूँ
वे तीनों ज़ोर से हँसते हैं
मैं और डरता हूँ
वे और ज़ोर से हँसते हैं
और तब खुल जाती है मेरी नींद
अब मैं इस स्वप्न से आज़ाद होना चाहता हूँ।
baba Darawne qisse sunaya karte the
itne Darawne
ki main Dara sahma rahta kai kai din
un qisson ke kirdar mere aas pas rahte the
har waqt mujhe Darate hue
we qisse nahin the sachchaiyan theen
aisa baba kahte the
baba batate ki jab thaile mein baat Dalkar
pita gaya tha us premi ko
jo raat ke andhere mein apni premika se milne aaya
aur phir pakDa gaya
wo marne ke baad pret ban gaya tha
aur wo jo apni athwin santan ko jante hue
mar gai thi harkhu ki man
wo bhatakti hai chuDail bankar
aur wo bhikhu lohar
jo ghalati se dewta ke mandir mein ghus gaya tha
mandir ko apawitr karta hua
saza mili thi use
zahr khane ya diwar mein chune jane ki
aur usne zahr khane aur diwar mein chune jane mein se
diwar mein chuna jana chuna tha
wo bhi bhatakta hai bhoot bankar
baba batate ki ganw ki wo bawDi
jo ghane peDon se ghiri hui
ganw ke dakhinn mein door kahin thi
bilkul sunsan, sannate ko oDhe hue
ki jahan har waqt rahti thi
ulte latke chamgadDon ki durgandh
ki jahan din mein bhi bol paDte the ullu
ki jahan jhaD jhankhaDon ke beech
nahin pahunchti thi suraj ki raushani
ye tinon wahin rahte the
apne apne badle ki yojnayen banate hue
mere sapnon mein aaj bhi kabhi kabhi
ati hai wo suni bawDi
din mein bhi nipat andheri
jhaDiyon, belon se ghiri hui
bilkul kisi andheri khoh ki tarah
main un tinon preton ke beech—
khu ko ghira hua pata hoon,
akela, bilkul akela
main Darta hoon, aur mere hath pararthna mein uth jate hain
main us kabhi us premi ki premika ho jana chahta hoon
jise mar diya gaya
aur kabhi us man ki akhiri santan
aur kabhi kabhi us mandir ka dewta hokar
bhikhu lohar se mafi mangna chahta hoon
par aisa ho nahin pata
main Dar jata hoon
we tinon zor se hanste hain
main aur Darta hoon
we aur zor se hanste hain
aur tab khul jati hai meri neend
ab main is swapn se azad hona chahta hoon
baba Darawne qisse sunaya karte the
itne Darawne
ki main Dara sahma rahta kai kai din
un qisson ke kirdar mere aas pas rahte the
har waqt mujhe Darate hue
we qisse nahin the sachchaiyan theen
aisa baba kahte the
baba batate ki jab thaile mein baat Dalkar
pita gaya tha us premi ko
jo raat ke andhere mein apni premika se milne aaya
aur phir pakDa gaya
wo marne ke baad pret ban gaya tha
aur wo jo apni athwin santan ko jante hue
mar gai thi harkhu ki man
wo bhatakti hai chuDail bankar
aur wo bhikhu lohar
jo ghalati se dewta ke mandir mein ghus gaya tha
mandir ko apawitr karta hua
saza mili thi use
zahr khane ya diwar mein chune jane ki
aur usne zahr khane aur diwar mein chune jane mein se
diwar mein chuna jana chuna tha
wo bhi bhatakta hai bhoot bankar
baba batate ki ganw ki wo bawDi
jo ghane peDon se ghiri hui
ganw ke dakhinn mein door kahin thi
bilkul sunsan, sannate ko oDhe hue
ki jahan har waqt rahti thi
ulte latke chamgadDon ki durgandh
ki jahan din mein bhi bol paDte the ullu
ki jahan jhaD jhankhaDon ke beech
nahin pahunchti thi suraj ki raushani
ye tinon wahin rahte the
apne apne badle ki yojnayen banate hue
mere sapnon mein aaj bhi kabhi kabhi
ati hai wo suni bawDi
din mein bhi nipat andheri
jhaDiyon, belon se ghiri hui
bilkul kisi andheri khoh ki tarah
main un tinon preton ke beech—
khu ko ghira hua pata hoon,
akela, bilkul akela
main Darta hoon, aur mere hath pararthna mein uth jate hain
main us kabhi us premi ki premika ho jana chahta hoon
jise mar diya gaya
aur kabhi us man ki akhiri santan
aur kabhi kabhi us mandir ka dewta hokar
bhikhu lohar se mafi mangna chahta hoon
par aisa ho nahin pata
main Dar jata hoon
we tinon zor se hanste hain
main aur Darta hoon
we aur zor se hanste hain
aur tab khul jati hai meri neend
ab main is swapn se azad hona chahta hoon
स्रोत :
रचनाकार : अशोक कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.