दाल
बस केवल दाल
कहाँ गई
भट की चुड़कानी
कहाँ पिसे भट की सब्ज़ी
कहाँ भट का भटिया
कहाँ मसूर-गहत के डुबके
कहाँ माँस-ककड़ी से मिलकर बनी बड़ी
कहाँ गया नवौ का साग
कहाँ पिनौ का थेचुवा
जैसे इकहरी दुनिया होती जा रही
हो चली रसोई भी हमारी इकहरी
रसोई से भाग
जाने कहाँ चले गए ये स्वाद
रंग-रूप बदलकर क्या
जा बैठे हैं
पंच सितारा होटलों में
पत्नी पूछ रही है माँ से
कैसे बनती है चुड़कानी
और बेटी पूछती मुझसे
पापा! क्या होते हैं डुबके
और मैं भी करता हूँ कोशिश
कुछ देर याद कर उसे बतलाने की।
dal
bus kewal dal
kahan gai
bhat ki chuDkani
kahan pise bhat ki sabzi
kahan bhat ka bhatiya
kahan masur gahat ke Dubke
kahan mans kakDi se milkar bani baDi
kahan gaya nawau ka sag
kahan pinau ka thechuwa
jaise ikahri duniya hoti ja rahi
ho chali rasoi bhi hamari ikahri
rasoi se bhag
jane kahan chale gaye ye swad
rang roop badalkar kya
ja baithe hain
panch sitara hotlon mein
patni poochh rahi hai man se
kaise banti hai chuDkani
aur beti puchhti mujhse
papa! kya hote hain Dubke
aur main bhi karta hoon koshish
kuch der yaad kar use batlane ki
dal
bus kewal dal
kahan gai
bhat ki chuDkani
kahan pise bhat ki sabzi
kahan bhat ka bhatiya
kahan masur gahat ke Dubke
kahan mans kakDi se milkar bani baDi
kahan gaya nawau ka sag
kahan pinau ka thechuwa
jaise ikahri duniya hoti ja rahi
ho chali rasoi bhi hamari ikahri
rasoi se bhag
jane kahan chale gaye ye swad
rang roop badalkar kya
ja baithe hain
panch sitara hotlon mein
patni poochh rahi hai man se
kaise banti hai chuDkani
aur beti puchhti mujhse
papa! kya hote hain Dubke
aur main bhi karta hoon koshish
kuch der yaad kar use batlane ki
स्रोत :
रचनाकार : महेश चंद्र पुनेठा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.