दाग़-धब्बे
साफ़-सुथरी जगहों पर आना चाहते हैं
जहाँ कहीं भी कुछ होने को होता है
भले ही हत्या होनी हो किसी को
दाग़-धब्बे प्रकट होने को आतुर हो उठते हैं
और जब कोई नहीं आता आगे
हत्यारों के ख़िलाफ़ गवाही देने
दाग़-धब्बे ही आते हैं
त्वचा तक सीमित नहीं होता उनका आना
वे स्मृतियों और आत्मा तक आते हैं
हादसे की तरह
और हमारे सबसे प्रिय चेहरे, बस्तियाँ और शहर
धब्बों में बदल जाते हैं
जहाँ-जहाँ होता है जीवन
हवा, पानी, मिट्टी और आग जहाँ होते हैं
धब्बे और दाग़
ज़रूर वहाँ होते हैं
वे जीवन की हलचल में हिस्सा बँटाना चाहते हैं
वे बच्चों को देते हैं चुनौती
कि हमारे बिना ज़रा खेलकर दिखाओ
(बच्चे तो अच्छी तरह जानते हैं
कि जिनके हाथों, किताबों और कपड़ों पर
लग जाते हैं स्याही के दाग़
वे ज़रूर पास हो जाते हैं!)
जीवन से जूझते जवान हों
या बूढ़े और बीमार
दाग़-धब्बे किसी को नहीं बख़्शते
महापुरुषों की जीवनियों में
उनके होने का होता है बखान
कौन-से बचपन पर
यौवन पर या जीवन पर वे नहीं होते
हाँ कफ़न पर नहीं होना चाहते
दाग़-धब्बे, मुर्दों से बचते हैं
गंदी-गंदी जगहों पर कौन रहना चाहता है
दाग़-धब्बे भी साफ़-सुथरी जगहों पर
आना चाहते हैं।
dagh dhabbe
saf suthari jaghon par aana chahte hain
jahan kahin bhi kuch hone ko hota hai
bhale hi hattya honi ho kisi ko
dagh dhabbe prakat hone ko aatur ho uthte hain
aur jab koi nahin aata aage
hatyaron ke khilaf gawahi dene
dagh dhabbe hi aate hain
twacha tak simit nahin hota unka aana
we smritiyon aur aatma tak aate hain
hadse ki tarah
aur hamare sabse priy chehre, bastiyan aur shahr
dhabbon mein badal jate hain
jahan jahan hota hai jiwan
hawa, pani, mitti aur aag jahan hote hain
dhabbe aur dagh
zarur wahan hote hain
we jiwan ki halchal mein hissa bantana chahte hain
we bachchon ko dete hain chunauti
ki hamare bina zara khelkar dikhao
(bachche to achchhi tarah jante hain
ki jinke hathon, kitabon aur kapDon par
lag jate hain syahi ke dagh
we zarur pas ho jate hain!)
jiwan se jujhte jawan hon
ya buDhe aur bimar
dagh dhabbe kisi ko nahin bakhshte
mahapurushon ki jiwaniyon mein
unke hone ka hota hai bakhan
kaun se bachpan par
yauwan par ya jiwan par we nahin hote
han kafan par nahin hona chahte
dagh dhabbe, murdon se bachte hain
gandi gandi jaghon par kaun rahna chahta hai
dagh dhabbe bhi saf suthari jaghon par
ana chahte hain
dagh dhabbe
saf suthari jaghon par aana chahte hain
jahan kahin bhi kuch hone ko hota hai
bhale hi hattya honi ho kisi ko
dagh dhabbe prakat hone ko aatur ho uthte hain
aur jab koi nahin aata aage
hatyaron ke khilaf gawahi dene
dagh dhabbe hi aate hain
twacha tak simit nahin hota unka aana
we smritiyon aur aatma tak aate hain
hadse ki tarah
aur hamare sabse priy chehre, bastiyan aur shahr
dhabbon mein badal jate hain
jahan jahan hota hai jiwan
hawa, pani, mitti aur aag jahan hote hain
dhabbe aur dagh
zarur wahan hote hain
we jiwan ki halchal mein hissa bantana chahte hain
we bachchon ko dete hain chunauti
ki hamare bina zara khelkar dikhao
(bachche to achchhi tarah jante hain
ki jinke hathon, kitabon aur kapDon par
lag jate hain syahi ke dagh
we zarur pas ho jate hain!)
jiwan se jujhte jawan hon
ya buDhe aur bimar
dagh dhabbe kisi ko nahin bakhshte
mahapurushon ki jiwaniyon mein
unke hone ka hota hai bakhan
kaun se bachpan par
yauwan par ya jiwan par we nahin hote
han kafan par nahin hona chahte
dagh dhabbe, murdon se bachte hain
gandi gandi jaghon par kaun rahna chahta hai
dagh dhabbe bhi saf suthari jaghon par
ana chahte hain
स्रोत :
पुस्तक : सुनो चारुशीला (पृष्ठ 15)
रचनाकार : नरेश सक्सेना
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.