तुम्हारी रसना में आलिप्त
हुआ यह मधुर-मिष्ट-मकरंद।
सुना हो जैसे बरसों बाद
किसी ने कालिदास का छंद॥
नहीं पूछोगी क्या इस बार
हुआ यह कैसे इतना मिष्ट?
बता ही देता हूँ, इस चॉकलेट—
की कथा बड़ी है क्लिष्ट॥
बहुत ही बरसा था आषाढ़
शरद ने तोड़े थे प्रतिमान।
गई हेमंत ऋतु भी बीत
शिशिर का अभी हुआ अवसान॥
द्रुम-दलों के कानों में तभी
बहुत धीमे से और चुपचाप।
शिशु-किसलय की नन्हीं नींद
तोड़ती वासंती पदचाप॥
हटाते, ममतामयी-दलपुंज
प्रसूनों पर से नेह-दुकूल।
अभी शैशव से हुआ किशोर
विकसता एक प्रेम का फूल॥
मानकर प्रेयसी का अधरोष्ठ
चूमता मधुकर जिसे नितांत।
मधुर पाटल-पराग का सार
संग्रहित करता वह उर-प्रांत॥
उसी मधुरस में कोको बीज
पीसकर डाल दिए हैं पाँच।
मिलाकर किंचित गौमय-क्षीर
उबाला उसको धीमीं आँच॥
हुई है अब लो यह तैयार
प्रियतमा डार्क-चॉकलेट एक।
निर्मिति इसकी है दुर्भेद्य
न देना तुम भी इसको फेंक॥
मानकर कोमल मधु-मकरंद
लगाना इस पर दंताघात।
प्रिये! जैसे मेरा नित-नेम
कलेजा खाती हो दिन रात॥
tumhari rasna mein alipt
hua ye madhur misht makrand.
suna ho jaise barson baad
kisi ne kalidas ka chhand॥
nahin puchhogi kya is baar
hua ye kaise itna misht?
bata hi deta hoon, is chocolate—
ki katha baDi hai klisht॥
bahut hi barsa tha ashaDh
sharad ne toDe the pratiman.
gai hemant ritu bhi beet
shishir ka abhi hua avsan॥
drum dalon ke kanon mein tabhi
bahut dhime se aur chupchap.
shishu kislay ki nanhin neend
toDti vasanti padchap॥
hatate, mamtamii dalpunj
prsunon par se neh dukul.
abhi shaishav se hua kishor
vikasta ek prem ka phool॥
mankar preyasi ka adhroshth
chumta madhukar jise nitant.
madhur patal praag ka saar
sangrhit karta wo ur praant॥
usi madhuras mein koko beej
piskar Daal diye hain paanch.
milakar kinchit gaumay kshair
ubala usko dhimin anch॥
hui hai ab lo ye taiyar
priyatma Daark chocolate ek.
nirmiti iski hai durbhedy
na dena tum bhi isko phek॥
mankar komal madhu makrand
lagana is par dantaghat.
priye! jaise mera nit nem
kaleja khati ho din raat॥
(rasna jihva, alipt ghula hua, makrand chocolate, klisht kathin, drumdal paudhe, kislay phool ki kali prasun,dukul dupatta, nitant achchhi tarah se,patal praag gulab ka ras, gaumay kshair doodh)
tumhari rasna mein alipt
hua ye madhur misht makrand.
suna ho jaise barson baad
kisi ne kalidas ka chhand॥
nahin puchhogi kya is baar
hua ye kaise itna misht?
bata hi deta hoon, is chocolate—
ki katha baDi hai klisht॥
bahut hi barsa tha ashaDh
sharad ne toDe the pratiman.
gai hemant ritu bhi beet
shishir ka abhi hua avsan॥
drum dalon ke kanon mein tabhi
bahut dhime se aur chupchap.
shishu kislay ki nanhin neend
toDti vasanti padchap॥
hatate, mamtamii dalpunj
prsunon par se neh dukul.
abhi shaishav se hua kishor
vikasta ek prem ka phool॥
mankar preyasi ka adhroshth
chumta madhukar jise nitant.
madhur patal praag ka saar
sangrhit karta wo ur praant॥
usi madhuras mein koko beej
piskar Daal diye hain paanch.
milakar kinchit gaumay kshair
ubala usko dhimin anch॥
hui hai ab lo ye taiyar
priyatma Daark chocolate ek.
nirmiti iski hai durbhedy
na dena tum bhi isko phek॥
mankar komal madhu makrand
lagana is par dantaghat.
priye! jaise mera nit nem
kaleja khati ho din raat॥
(rasna jihva, alipt ghula hua, makrand chocolate, klisht kathin, drumdal paudhe, kislay phool ki kali prasun,dukul dupatta, nitant achchhi tarah se,patal praag gulab ka ras, gaumay kshair doodh)
स्रोत :
रचनाकार : सत्यम् सम्राट आचार्य
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.