ढाबे में देर से आने वाले लोग
कोने में मोरी के पास राख से जूठी थाली-कटोरियाँ
माँजते हुए बर्तनवाले के हाथ की मंद
और काम ख़त्म होने की राहत वाली लय पर
सिर नीचा किए सीढ़ियाँ चढ़ते हैं
और वैसे ही प्रत्याशित ‘आह’ बग़ैर बैठ जाते हैं
रात साढ़े दस बजे सारी गाड़ियाँ
आ-जा चुकी होती हैं और चारों रसोइए चौक से बाहर
पाटों पर अधलेटे हुए या तो शरीर के विभिन्न जोड़ खुजाते हैं
या कानों के पीछे अटकाई हुई बीड़ियाँ
या तकियों के नीचे दबी सचित्र पुस्तकें निकालते हैं
ढाबे में देर से आए हुए लोग
जितनी कुर्सी टेबिलें अभी लगी हुई बची हैं
उन पर बैठे इंतज़ार करते हैं
और कोई एक परोसगार भुनभुनाता हुआ उठता है
और दो घंटे पहले से लगी हुई थालियाँ
उनके सामने सायास रखता है
वे आँखें उठाकर न परोसगार को देखते हैं और न थाली में—
बस हाँफती हुई उँगलियाँ कौर तोड़ती और बनाती और मुँह तक ले जाती हैं
उन्होंने कई बार आलुओं से माचिस की तीलियों को
और थालियों के किनारे चिपकी हुई
सूखी दाल सरीखी किसी चीज़ को निकाला है
बर्तन वाले को वहीं पेशाब के लिए झुकते
और बड़े रसोइए को इस नए नेपाली को गोद में बैठाकर
प्यार करने की कोशिश करते हुए देखा है
किंतु यह सभी जानते हैं
कि ढाबे मे देर से आने वाले ये लोग कुछ नहीं कहते
ढाबे में देर से आने वाले ये लोग परिचय बिना
एक-दूसरे को जानते हैं इसलिए एक मौन संधि में भोजन करते हैं
यदि भूल से आँखें मिल भी जाती हैं तो न उनमें पहचान की चमक
हिलती है और न अभिवादन के लिए हाथ या सिर
या चुकने के बाद जब वे नल पर पहुँचते हैं तो उनके बीच आज के खाने
दुनिया तक़दीर घर वग़ैरह पर वह चर्चा नहीं होती
जो वक़्त से आने वालों मे कुल्ले ख़ख़ार और डकार के दर्म्यान
खड़े-खड़े होती है
ये लोग कौन हैं यह बताना मुश्किल है
शायद सेठ को ही धुँधली तौर पर कुछ अंदाज़ है
लेकिन वह इतना पक्का जानता है कि इन्हीं की वजह से
उसे महीने-भर दोनों वक़्त ढाबे के बंद होने तक बैठना पड़ता है
जो जाते-जाते
उससे धीमे इज़्ज़तदार स्वर में बात करते हैं
और वह सामने फ़क़ीरचंद डॉक्टर की डिस्पेन्सरी तक पहुँचने वाली
आज़िज़ आवाज़ में इनसे पेश आता है
ढाबे में देर से आने वाले ये लोग
जब उतरते हैं तो बावजूद इसके कि वे
अपनी ऊँचाई के कुछ इंच ऊपर ही छोड़ आते हैं सिर झुकाए नीचे आते हैं
उनके ऊपरी ओंठ पर पसीने की हल्की लकीर होती है ठंड में भी
और नीचे अगर सड़क सुनसान हो तो भी
वे आस-पास नहीं देखते क्योंकि उन्हें मालूम है
कि ज़ीने से लगकर बैठा हुआ पानवाला उनकी ओर
जानकार निगाहों से निर्निमेष देख रहा होगा
और उनकी गंध अगर लग गई
तो ऊँघते हुए कुत्ते जागकर देर तक भूँकते रहेंगे।
Dhabe mein der se aane wale log
kone mein mori ke pas rakh se juthi thali katoriyan
manjate hue bartanwale ke hath ki mand
aur kaam khatm hone ki rahat wali lai par
sir nicha kiye siDhiyan chaDhte hain
aur waise hi pratyashit ‘ah’ baghair baith jate hain
raat saDhe das baje sari gaDiyan
a ja chuki hoti hain aur charon rasoie chauk se bahar
paton par adhlete hue ya to sharir ke wibhinn joD khujate hain
ya kanon ke pichhe atkai hui biDiyan
ya takiyon ke niche dabi sachitr pustken nikalte hain
Dhabe mein der se aaye hue log
jitni kursi tebilen abhi lagi hui bachi hain
un par baithe intzar karte hain
aur koi ek parosgar bhunabhunata hua uthta hai
aur do ghante pahle se lagi hui thaliyan
unke samne sayas rakhta hai
we ankhen uthakar na parosgar ko dekhte hain aur na thali mein—
bus hanpti hui ungliyan kaur toDti aur banati aur munh tak le jati hain
unhonne kai bar aluon se machis ki tiliyon ko
aur thaliyon ke kinare chipki hui
sukhi dal sarikhi kisi cheez ko nikala hai
bartan wale ko wahin peshab ke liye jhukte
aur baDe rasoie ko is nae nepali ko god mein baithakar
pyar karne ki koshish karte hue dekha hai
kintu ye sabhi jante hain
ki Dhabe mae der se aane wale ye log kuch nahin kahte
Dhabe mein der se aane wale ye log parichai bina
ek dusre ko jante hain isliye ek maun sandhi mein bhojan karte hain
yadi bhool se ankhen mil bhi jati hain to na unmen pahchan ki chamak
hilti hai aur na abhiwadan ke liye hath ya sir
ya chukne ke baad jab we nal par pahunchte hain to unke beech aaj ke khane
duniya taqdir ghar waghairah par wo charcha nahin hoti
jo waqt se aane walon mae kulle khakhar aur Dakar ke darmyan
khaDe khaDe hoti hai
ye log kaun hain ye batana mushkil hai
shayad seth ko hi dhundhli taur par kuch andaz hai
lekin wo itna pakka janta hai ki inhin ki wajah se
use mahine bhar donon waqt Dhabe ke band hone tak baithna paDta hai
jo jate jate
usse dhime izzatdar swar mein baat karte hain
aur wo samne faqirchand doctor ki Dispensri tak pahunchne wali
aziz awaz mein inse pesh aata hai
Dhabe mein der se aane wale ye log
jab utarte hain to bawjud iske ki we
apni unchai ke kuch inch upar hi chhoD aate hain sir jhukaye niche aate hain
unke upri onth par pasine ki halki lakir hoti hai thanD mein bhi
aur niche agar saDak sunsan ho to bhi
we aas pas nahin dekhte kyonki unhen malum hai
ki zine se lagkar baitha hua panwala unki or
jankar nigahon se nirnimesh dekh raha hoga
aur unki gandh agar lag gai
to unghte hue kutte jagkar der tak bhunkate rahenge

स्रोत :
पुस्तक : पिछला बाक़ी (पृष्ठ 25)
रचनाकार : विष्णु खरे
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.