भीड़ चिंतित ही नहीं
संकुचित और भयभीत भी हो उठी थी
उस तीव्र आर्त्तनाद से...
जो किसी अकेली स्त्री के कंठ से उठ रहा था!
किसी स्त्री के
मौनिक-इतिहास के स्वरूप के दरकने मात्र से
भीड़ व्यक्तिगत तौर पर बेहद डरपोक है!
निमिष भर में...
भयाक्रांत भीड़ उस अकेली स्त्री को
तितलियों के जीवाश्मों तक खींचकर ले गई
जिनके कंठ की उम्र का हिसाब नदारद था
बस...
रंगरोगन की हुई भीतों, स्थापित पत्थरों पर
टूटे-नुचे रंगीन पंखों की कुछेक अधूरी उड़ानें अंकित थीं..
जबरन मोड़ी हुई एकाध दिशाएँ भी असहाय खड़ी थीं...
उन रंगीन पंखों की उम्र या तो बेहद कम थी
या जो वयस्क पाई भी गई थीं
तो वे भी उन सार्वजनिक मंचों पर
हल्का दाग़ तक नहीं लगा पाई थीं
भीड़ के साथ बराबर चिल्लाने की तो छोड़िए, साहेब!
भीड़ में अपनी आवाज़ को खोजती
कोई अकेली स्त्री
विलुप्त हो चुकी किसी भाषा की तरह है!
bheeD chintit hi nahin
sankuchit aur bhaybhit bhi ho uthi thi
us teewr arttnad se
jo kisi akeli istri ke kanth se uth raha tha!
kisi istri ke
maunik itihas ke swarup ke darakne matr se
bheeD wyaktigat taur par behad Darpok hai!
nimish bhar mein
bhayakrant bheeD us akeli istri ko
titaliyon ke jiwashmon tak khinchkar le gai
jinke kanth ki umr ka hisab nadarad tha
bus
rangrogan ki hui bhiton, sthapit patthron par
tute nuche rangin pankhon ki kuchhek adhuri uDanen ankit theen
jabran moDi hui ekadh dishayen bhi asahaye khaDi theen
un rangin pankhon ki umr ya to behad kam thi
ya jo wayask pai bhi gai theen
to we bhi un sarwajnik manchon par
halka dagh tak nahin laga pai theen
bheeD ke sath barabar chillane ki to chhoDiye, saheb!
bheeD mein apni awaz ko khojti
koi akeli istri
wilupt ho chuki kisi bhasha ki tarah hai!

स्रोत :
रचनाकार : मंजुला बिष्ट
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.