धरती जानती है कि बादल कहाँ से आते हैं
कब आती हैं गर्म हवाएँ
कब नफ़रत और कब प्रेम
धरती जानती है लेकिन इसमें रहने वाले भ्रम में हैं
‘उनके दिल पूरब में हैं और शरीर सुदूर पश्चिम में’
प्रवासी चिड़ियों की तरह
जिन्होंने खो दीं अपनी गर्मियाँ और सर्दियाँ
शुरुआत और अंत
और जो प्रवास करते रहे अपने सभी दिनों में
दर्द की इंतहा तक
धरती पढ़ और लिख सकती है
खुली हुई हैं इसकी आँखें बेहतर होता कि ये भी अनजान रहतीं
इस पर रहने वाले लोगों की तरह
अंधी और टटोलती हुई अपने बच्चों को
बिना उन्हें देखे
इज़रायल की यह महान धरती
एक भारी और मोटी औरत की तरह है
और इसका राज्य
लचीली-पतली कमर वाली एक नौजवान औरत की तरह
लेकिन इन दोनों में
यरूशलम हमेशा से इस धरती की योनि है
एक उत्तप्त-उदग्र-अतृप्त योनि
एक धड़कती-चीख़ती चरम कामसुख कामना
जो नहीं पहुँच सकेगी अपने अंत तक
जब तक कि मसीहा न आ जाए।
dharti janti hai ki badal kahan se aate hain
kab aati hain garm havayen
kab nafrat aur kab prem
dharti janti hai lekin ismen rahne vale bhram mein hain
‘unke dil purab mein hain aur sharir sudur pashchim men’
pravasi chiDiyon ki tarah
jinhonne kho deen apni garmiyon aur sardiyan
shuruat aur ant
aur jo pravas karte rahe apne sabhi dinon men
dard ki intha tak
dharti paDh aur likh sakti hai
khuli hui hain iski ankhen behtar hota ki ye bhi anjan rahtin
is par rahne vale logon ki tarah
andhi aur tatolti hui apne bachchon ko
bina unhen dekhe
izrayal ki ye mahan dharti
ek bhari aur moti aurat ki tarah hai
aur iska rajya
lachili patli kamar vali ek naujavan aurat ki tarah
lekin in donon men
yarushlam hamesha se is dharti ki yoni hai
ek uttapt udagr atript yoni
ek dhaDakti chikhti charam kamsukh kamna
jo nahin pahunch sakegi apne ant tak
jab tak ki masiha na aa jaye.

स्रोत :
पुस्तक : धरती की सतह पर (पृष्ठ 88)
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक अशोक पांडे, शिरीष कुमार मौर्य
प्रकाशन : संवाद प्रकाशन
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.