सिरका माँगने का हुनर
सबसे बढ़िया मेरी बुआ के पास था
पहले वे भाभी की प्रशंसा करतीं
फिर उनके नैहर की
फिर उनके नैहर से आए सिरके की
फिर किसी दिन
डालडा के डिब्बे में सिरका
पहुँच जाता उनके घर
कटहल माँगने वाले
पहले मौसम की करते तारीफ़
फिर कहते
कहीं कटहल का कोया गमक रहा
गृहस्वामी लाद देता उनकी साइकिल पर
पका हुआ कटहल
आम माँगने वाले भी यही काम करते
बरसों पहले अपना गाँव-जँवार छोड़ आए
शहरी काला नमक चावल माँगते
अपने किसी रिश्तेदार से
उसके खेत की प्रशंसा
या कोई इधर-उधर की घरेलू बात करके
ये सभी माँगने वाले लोग
थोड़े कलात्मक थे
थोड़े-से सहृदय
थोड़ा-सा दरेग था उनके अंदर
कुछ तो बर्तन ख़ाली नहीं लौटाते थे
सिरके के बदले दही ही भेज देते थे
धनिया लहसुन मंगरैल रख देते उसके अंदर
ख़ाली बर्तन अशुभ माना जाता
लेकिन सरकारी घूसख़ोर
एक शब्द बोलने से पहले दो बार काँखते
इधर की फ़ाइल उधर रखते
और कहते—
हमें भी ऊपर जवाब देना पड़ेगा
एक ने घूस नहीं माँगी मुझसे
माँगा दस बोरी सीमेंट
दो हज़ार ईंट
बीच शहर में बनाया घर
नाम रखा : काव्य-निकेतन
मुझसे बस इतना कहा—
यह सहयोग है तुम्हारा राष्ट्र-निर्माण में।
sirka mangne ka hunar
sabse baDhiya meri bua ke paas tha
pahle ve bhabhi ki prashansa kartin
phir unke naihar ki
phir unke naihar se aaye sirke ki
phir kisi din
DalDa ke Dibbe mein sirka
pahunch jata unke ghar
kathal mangne vale
pahle mausam ki karte tarif
phir kahte
kahin kathal ka koya gamak raha
grihasvami laad deta unki cycle par
paka hua kathal
aam mangne vale bhi yahi kaam karte
barson pahle apna gaanv janvar chhoD aaye
shahri kala namak chaval mangte
apne kisi rishtedar se
uske khet ki prashansa
ya koi idhar udhar ki gharelu baat karke
ye sabhi mangne vale log
thoDe kalatmak the
thoDe se sahrday
thoDa sa dareg tha unke andar
kuch to bartan khali nahin lautate the
sirke ke badle dahi hi bhej dete the
dhaniya lahsun mangrail rakh dete uske andar
khali bartan ashubh mana jata
lekin sarkari ghuskhor
ek shabd bolne se pahle do baar kankhate
idhar ki file udhar rakhte
aur kahte—
hamein bhi upar javab dena paDega
ek ne ghoos nahin mangi mujhse
manga das bori siment
do hazar iint
beech shahr mein banaya ghar
naam rakha ha kaavy niketan
mujhse bus itna kaha—
ye sahyog hai tumhara rashtra nirman mein.
sirka mangne ka hunar
sabse baDhiya meri bua ke paas tha
pahle ve bhabhi ki prashansa kartin
phir unke naihar ki
phir unke naihar se aaye sirke ki
phir kisi din
DalDa ke Dibbe mein sirka
pahunch jata unke ghar
kathal mangne vale
pahle mausam ki karte tarif
phir kahte
kahin kathal ka koya gamak raha
grihasvami laad deta unki cycle par
paka hua kathal
aam mangne vale bhi yahi kaam karte
barson pahle apna gaanv janvar chhoD aaye
shahri kala namak chaval mangte
apne kisi rishtedar se
uske khet ki prashansa
ya koi idhar udhar ki gharelu baat karke
ye sabhi mangne vale log
thoDe kalatmak the
thoDe se sahrday
thoDa sa dareg tha unke andar
kuch to bartan khali nahin lautate the
sirke ke badle dahi hi bhej dete the
dhaniya lahsun mangrail rakh dete uske andar
khali bartan ashubh mana jata
lekin sarkari ghuskhor
ek shabd bolne se pahle do baar kankhate
idhar ki file udhar rakhte
aur kahte—
hamein bhi upar javab dena paDega
ek ne ghoos nahin mangi mujhse
manga das bori siment
do hazar iint
beech shahr mein banaya ghar
naam rakha ha kaavy niketan
mujhse bus itna kaha—
ye sahyog hai tumhara rashtra nirman mein.
स्रोत :
रचनाकार : रमाशंकर सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.