धान की पोरों में
समा रहा मल्हार...
उतर रही अमृतमयी वीणा
पोसेगी अक्षर-अक्षर में प्राण
हर कंठ की काकली में किलक रहा आस्वाद
कलरव किर्र-किर्र कह-कह कल-कल से
पट गई है वसुंधरा
मृदंग बजाते बादलों में मची है होड़
हवाओं पर डोलते उड़ते झुमर पारते
सघन मेघ हो रहे लयबद्ध
कृष्णातुर वैष्णव ज्यूँ बजाते हैं
पखावज भाव-विभोर...
नृत्य निरत...
स्मृति विगत...
उद्भट दामिनी—
उतरती है ऐसे लपककर
धरती की ओर—
उत्तरीय लोमता हो ज्यूँ
वलयवर्त हो चैतन्य महाप्रभु की गात
रतिरत पुमान्-स्त्री पर हिरण्यमई पटुका का छंद
उतरता है सप्त-स्वरों का वितान ताने ज्यूँ
पगडंडियों की पोर पोर उद्भ्राँत है
कामिनी की पदचापों से कि
अभी तो हुआ भी नहीं धान्य बीजों का परिपाक
बजता क्या है रुनझुन-रुनझुन
परिहासों में विराज रहा परमहंस
रटपट-रटपट बूँदों की तेज बौछार पर
मृगछौनों-सी कुलाँचे मारती स्त्रियों ने ही
सबसे पहले किया होगा इस पृथ्वी को चलायमान
और मल्हार भी झरा होगा इन्हीं की नाभिका के अनहद से
किसी मेढ़ पर बैठी स्त्री भींग रही वर्षा जल में
निहार रही धान की हरीतिमा
भर रही गाभों में मृदुरस
पगडंडी सिहर रही हर बूँद के स्पर्श से
यह एकालाप उतर रहा उसके मौन के ही परिसर मे
मल्हार के विस्तार में
इसी स्त्री ने रोपे हैं धान्य बीज
हर कंठ में आस्वाद के आलाप में
इसी के मौन की प्रस्तावना है
दोनों भुजाएँ पसार
यही कर रही अभ्यर्थना कि
धान की पोर पोर में
समा रहा मल्हार
उतर रही अमृतमई वीणा...
dhaan ki poron mein
sama raha malhar. . .
utar rahi amritamyi vina
posegi akshar akshar mein praan
har kanth ki kakali mein kilak raha asvad
kalrav kirrkirr kahkah kalkal se
pat gai hai vasundhra
mridang bajate badlon mein machi hai hoD
havaon par Dolte uDte jhumar parte
saghan megh ho rahe laybaddh
krishnatur vaishnav jyoon bajate hain
pakhavaj bhaav vibhor. . .
nritya nirat. . .
smriti vigat. . .
udbhat damini—
utarti hai aise lapak kar
dharti ki or—
uttariy lomta ho jyoon
valayvart ho chaitanya mahaprabhu ki gaat
ratirat puman stri par hiranyamii patuka ka chhand
utarta hai sapt svron ka vitan tane jyoon
pagDanDiyon ki por por udbhraant hai
kamini ki padchapon se ki
abhi to hua bhi nahin dhanya bijon ka paripak
bajta kya hai runjhun runjhun
parihason mein viraj raha paramhans
ratpat ratpat bundon ki tej bauchhar par
mrigchhaunon si kulanche marti striyon ne hi
sabse pahle kiya hoga is prithvi ko chalayman
aur malhar bhi jhara hoga inhin ki nabhika ke anhad se
kisi meDh par baithi stri bheeng rahi varsha jal men
nihar rahi dhaan ki haritima
bhar rahi gabhon mein mriduras
pagDanDi sihar rahi har boond ke sparsh se
ye ekalap utar raha uske maun ke hi parisar mae
malhar ke vistar mein
isi stri ne rope hain dhanya beej
har kanth mein asvad ke alap men
isi ke maun ki prastavana hai
donon bhujayen pasar
yahi kar rahi abhyarthana ki
dhaan ki por por men
sama raha malhar
utar rahi amritamii vina. . .
dhaan ki poron mein
sama raha malhar. . .
utar rahi amritamyi vina
posegi akshar akshar mein praan
har kanth ki kakali mein kilak raha asvad
kalrav kirrkirr kahkah kalkal se
pat gai hai vasundhra
mridang bajate badlon mein machi hai hoD
havaon par Dolte uDte jhumar parte
saghan megh ho rahe laybaddh
krishnatur vaishnav jyoon bajate hain
pakhavaj bhaav vibhor. . .
nritya nirat. . .
smriti vigat. . .
udbhat damini—
utarti hai aise lapak kar
dharti ki or—
uttariy lomta ho jyoon
valayvart ho chaitanya mahaprabhu ki gaat
ratirat puman stri par hiranyamii patuka ka chhand
utarta hai sapt svron ka vitan tane jyoon
pagDanDiyon ki por por udbhraant hai
kamini ki padchapon se ki
abhi to hua bhi nahin dhanya bijon ka paripak
bajta kya hai runjhun runjhun
parihason mein viraj raha paramhans
ratpat ratpat bundon ki tej bauchhar par
mrigchhaunon si kulanche marti striyon ne hi
sabse pahle kiya hoga is prithvi ko chalayman
aur malhar bhi jhara hoga inhin ki nabhika ke anhad se
kisi meDh par baithi stri bheeng rahi varsha jal men
nihar rahi dhaan ki haritima
bhar rahi gabhon mein mriduras
pagDanDi sihar rahi har boond ke sparsh se
ye ekalap utar raha uske maun ke hi parisar mae
malhar ke vistar mein
isi stri ne rope hain dhanya beej
har kanth mein asvad ke alap men
isi ke maun ki prastavana hai
donon bhujayen pasar
yahi kar rahi abhyarthana ki
dhaan ki por por men
sama raha malhar
utar rahi amritamii vina. . .
स्रोत :
रचनाकार : चंचला पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.